Aye Jaun Bhai Ho Tum Meray
Abbas Ki Kasam Tumhein Lag Jao Na Gale
Baba Bhi Aaye Hain Mere Nana Bhi Aaye Hain
Chehre Ka Noor Dekhiye Musa Bhi Aaye Hain
Yousuf Khare Hue Hain Ziarat Ke Wastay
Tujh Ko Duaein Aj Se De Gi Dua e Noor
Khushbu Tere Paseene Ki Phelay Gi Dur Dur
Mil Jaye Ga Lahu Tera Khoon e Hussain Se
Ahl e Haram Ko Tum se Dharas Mere Delar
Pehra Do Phir Khayam Ka Utho Aye Mere Sher
Kyun Ja Rahe Ho Tum Mujhe Ghurbat Main Chor Ke
Karna Dua Hussain Pe Aisa Na Waqt Aaye
Koi Sada De Hum Ko Aur Hum Se Chala Na Jaye
Lasha Tumhara Dhasht Se Hum Khud Uthaein ge
Ahista Kehna Saqqi e Kausar Se Mera Haal
Rakhti Thi Meri Pyas Ka Amma Bohat Khayal
Ghurbat Na Ho Bayan Meri Amma Ke Samne
Aaye Hain Zakhm Tum Ko Meri Jaan Kahan Kahan
In Zalimon Ne Maari Hain Seenay Pe Barchiyan
Shabbir Kis Tarhan Se Tumhare Gale Lage
Tu Ne Gala Kataya Hai Pehle Hussain Se
Dilwaein ge Jaza Wo Shah e Mashriqain Se
Chadar Utha Ke Deti Hai Amma Dua Tujhe
Seenay Laga Ke Kehne Laga Ibn e Fatima
Khushbu Se Teri Mehke Gi Ta Hashr Karbala
Bou Hai Tere Paseene Main Kis Ne Kaha Tujhe
Jaldi Thi Dekho Jaun Ko Sajjad Kis Qadar
Dhal Aur Zera Ko Phenk Ke Seena Kiya Sepur
Jis Dum Suna Hussain Se
