Tu Khud Bhi Ali Hai Tera Darbar Bhi Aali
Aye Toos Ke Waali
Taqdeer Ka Daman Hai Tere Roza Ki Jali
Kano Main Musalsal Teri Awaz E Karam Hai
Jab Tu Hai Mere Sath Tou Kis Baat Ka Gham Hai
Duniya Ka Nasha Karta Nahi Tera Mawali
Anwar E Do Aalam Hain Tere Noor Ka Sadqa
Kehte Hain Tujhe Shams E Shamoos Is Liye Mola
Tu Ne Hai Bhari Noor Se Suraj Ki Ye Thali
Firdos Nagar Apne Muhibon Ko Dikhaya
Kabe Na Gaye Phir Bhi Unhein Haji Banaya
Roza Pe Tere Aaye Magar Hajj Ki Jaza Li
Nobat Ka Mere Dil Se Asar Ja Nahi Sakta
Mujh Par Tou Bura Waqt Kabhi Aa Nahi Sakta
Sanson Ki Ghari Sehan E Shifa Se Hai Mila Li
Har Giarween Zeeqad Ko Hota Hai Ye Mola
Masooma Se Hum Mangta Hain Aap Ka Sadqa
Eidi Humein Phir Deti Hain Masooma Nirali
Milta Hai Mujhe Jab Koi Munkir Tera Aa Kar
Kehta Hoon Main Us Se Parho Salwat Raza Par
Leta Hoon Yun Badla Tere Munkir Se Misali
Main Chahta Kya Hoon Ye Khuda Puch Raha Hai
Khud Katib E Taqdeer Riza Puch Raha Hai
Is Waqt Mere Hathon Mein Hai Roze Ki Jali
Aye Panchwein Shabbir Tu Be Sheer Ke Sadqa
Aagosh Mein Maon Ki Azadar Pisar De
Jo Jholiyan Hain Aaj Tak Aulad Se Khali
Arbab E Khurasan Ki Kifalat Main Rahe Gi
Aaho Ki Tarhan Teri Zamanat Main Rahe Gi
Main Ne Jo Tere Rizq Pe Aulad Hai Pali
Dadi Ka Teri Wasta Jab Dete Hain Zawar
Daman Teri Khairat Se Bhar Lete Hain Zawar
Khali Tou Chale Aate Hain Jate Nahi Khali
Eman Hai Malik Ye Tere Mir Hassan Mir Ka
Tum Keh do Tou Wo Bhi Kare Murda Abhi Zinda
Ye Uska Aqeeda Hai Nahi Kham O Khayali
