Ro Ro Ke Ye Sada Di Masjid Mein Fatima Ne
Ayega Mera Mehdi
Main Muntazir Hoon Uski Ab Mera Haq Dilane
Ayega Mera Mehdi
Usko Sabhi Khabar Hai Kis Ne Hai Dar Jalaya
Tegh O Rasan Utha Ke Hai Kon Kon Aya
Kis Ne Gawah Maange Kis Ne Diye Hain Taane
Sunta Hai Woh Sadaein Zainab Ki Siskiyon Ki
Pohunche Gi Us Talak Ye Awaaz Pasliyon Ki
Pehlu Se Haath Mera Ab Mustaqil Hatane
Peshi Ke Teen Ghante Is Tarhan Se Guzare
Chun Chun Ke Keh Rahi Thi Laashe Sanad Ke Tukre
Ab Jor Kar Ye Tukre Phir Se Sanad Banane
Sholon Mein Ghir Gayi Jab Bint E Rasool Tanha
Darwaza Jab Gira Tou Us Ne Ye He Kaha Tha
Fizza Ke Saath Mil Ke Dar Se Mujhe Uthane
Talwarein Taziyane Ek Saath Uth Rahe The
Afsoos Fatima Pe Jab Haath Uth Rahe The
Bas Itna Keh Rahi Thi Seh Seh Ke Taziyane
Ye Tooti Ungliyan Bhi Usko Dikhaun Gi Main
Chehre Ka Ye Nishan Bhi Usko Dikhaun Gi Main
Zakhmon Ka Ban Ke Marham Chahe Lage Zamane
Lamho Mein Ho Gayi Hai Zahra Ghareeb Aise
Jab Se Laga Tamacha Dekha Nahi Hasan Ne
Beton Ko Mere Phir Se Chehra Mera Dikhane
Itni Zaeef Thi Jab Khaali Palat Rahi Thi
Har Doosre Qadam Pe Uthti Thi Bethti Thi
Deewar O Dar Rulaye Zahra Ki Is Sada Ne
Main Dekh He Na Payi Beton Ke Sar Pe Sehre
Armaan He Rahe Hain Armaan Thy Jo Mere
Mohsin Ghareeb Maa Ki Sab Hasratein Mitane
