Ayyo Hannas Dil e Haider e Karrar Hoon Main

Ayyo Hannas Dil E Haider E Karrar Hoon Main
Sab Mere Samne Majboor Hain Mukhtar Hoon Main
Surmaa Saaf Shikan O Ghazi O Jarrar Hoon Main
Alaam E Zar Se Kisi Fouj Ka Salar Hoon Main
Asadullah Ka Aqas Mujhe Kehte Hain
Sher Hoon Is Liye Abbas Mujhe Kehte Hain

Arzoo Hai Tou Koi Harf E Dua Hai Lekin
Jo Bhi Muthi Hai Wo Sacha Hai Khara Hai Lekin
Koi Musa Koi Haroon E Wafa Hai Lekin
Kanz E Mabood Nageeno Se Bhara Hai Lekin
Kul E Emaan E Imam E Azali Ne Manga
Main Akela Hoon Jise Rab Se Ali Ne Manga

Algaraz Behr E Manajat Uthe Dast E Khuda
Saj Gayi Bolte Quran Ke Honton Pe Dua
Rukh E Tareekh E Akhuwat Pe Charha Rang E Wafa
Bait E Molood E Haram Dekh Ke Qudrat Ne Kaha
Ab Khuror E Shab E Tareek Zara Mand Bhi Ho
Bara Suraj Hai Jab Is Ghar Main Tou Ik Chand Bhi Ho

Raah Mushkil Ho Tou Asan Bana Deta Hoon
Khaar Zaron Ko Gulistan Bana Deta Hoon
Harf E Ruswa Ho Tou Zeeshan Bana Deta Hoon
Main Bhikari Ko Bhi Sultan Bana Deta Hoon
Apne Aaqa Ke Gulistan Ka Gul E Taza Hoon
Wo Agar Shehr E Sakhawat Hain Main Darwaza Hoon

Kya Kaha Shah E Abuzar Se Mile Ga Ke Nhi
Ap Kuze Ko Samadar Se Mile Ga Ke Nhi
Noor Kuch Mehr E Munawar Se Mile Ga Ke Nhi
Sochte Ho Ke Mere Ghar Se Mile Ga Ke Nhi
Shab Ke Phande Main Gala Daal Diya Jhool Gaye
Kya Mera Babe Hawaij Ka Laqab Bhool Gaye

Koi Zar Koi Gohar Koi Rida Mangta Hai
Ye Zamana Mujhe De De Ke Sada Mangta Hai
Yun Tou Har Lehja E Beemar Shifa Mangta Hai
Aake Kafar Koi Jab Mujhe Se Dua Mangta Hai
Pesh E Rab Kalma E Touheed Parha Deta Hoon
Main Duaon Ko Musalman Bana Deta Hoon

Hai Shajar Aik Muradon Ke Samar Bara Hain
Hai Sadaf Aik Taharat Ke Gohar Bara Hain
Asman Aik Imamat Ke Qamar Bara Hain
Aik Hai Ahle Nazar Noor E Nazar Bara Hain
Bara Anwar E Imamat Ka Jo Ik Ghalib Hai
Main Bhi Pota Hoon Ussi Ka Jo Abu Talib Hai

Chote Bhai Ko Lari Ki Ijazat De Do
Teg E Bismil Ko Kalayi Ki Ijazat De Do
Foj E Batil Ki Safayi Ki Ijazat De Do
Aj Ke Din Tou Larayi Ki Ijazat De Do
Hasrat E Teg Pe Kha Kha Ke Taras Kate Hain
Isi Din Ke Liye Batees Baras Kate Hain

Sahib E Mashk O Alam Khaime Se Be Teg Chala
Phir Bhi Jibreel Ne Shehpar Ke Liye Wird Parha
Dar Se Khamosh Hua Aur Bhi Kuch Dil Dharka
Jab Mili Sher Ki Aahat Tou Pukara Dariya
Raah Takta Tha Main Jiski Wohi Salik Aya
Ghasibon Ghaat Se Bhago Mera Malik Aya

Chup Hui Nehr Tou Abbas Ki Gunji Awaz
Banda E Khaas Ussi Ka Hoon Jo Hai Banda Nawaz
Apne He Khoon Se Wazoo Karke Basad Ejjz O Niyaz
Mujh Ko Parhna Hai Sakina Ki Mohabbat Ki Namaz
Meri Janib Se Shahadat Ko Zaban De Di Hai
Ali Akber Ne Sawere He Azan De Di Hai

Asman Tak Jo Gayi Sher E Nayastan Ki Pukaar
Malak Ul Mout Ne Ghabra Ke Kaha Ji Sarkar
Lehja E Ghaiz Main Bola Ye Hussaini Jarar
Sun Rahe Ho Jo Tarayi Pe Hai Shoor E Ashrar
Dushmani Main Ye Kayi Rooz Se Baal Khate Hain
Jao Dariya Pe Khabar Kardo Ke Hum Aate Hain

Pehre Daron Ki Sada Thi Ke Tarayi Choro
Apne Bas Main Nhi Hargiz Ye Larayi Choro
Ab Ye Faryaad Ye Giriya Ye Duhayi Choro
Waqt Hai Bhaag Niklne Ka Kalayi Choro
Ghaiz Main Aake Jo Talwar Chala Deta Hai
Ye Parindo Ki Tarhan Sar Ko Ura Deta Hai

Sher Bola Ke Halakat Ke Nishan Tak Bhago
Tum Khayalon Ke Musafir Ho Guman Tak Bhago
Bhaag Sakte Ho Jahan Tak Bhi Wahan Tak Bhago
Shaam Se Aye Ho Hinda Ke Makan Tak Bhago
Mout Ki Raah O Rabish Khainch Ke Le Ayi Hai
Tum Ko Naize Ki Kashish Khainch Ke Le Ayi Hai

Gham E Sufiyan Ke Dilase Ho Kahan Jaate Ho
Jaane Kitno Ki Khaata Se Ho Kahan Jaate Ho
Tum Tou Hinda Ke Nawase Ho Kahan Jate Ho
Badr Ke Roz Se Pyaase Ho Kahan Jaate Ho
Kasa E Lafz E Halakat Se Pani Peelo
Khoon Ke Pyaason Meri Talwar Se Pani Peelo

Shimr E Buzdil Se Pah E Jor Manga Aur Manga
Dair Kis Baat Ki Fil For Manga Aur Manga
Apne Anjam Pe Kar Gor Manga Aur Manga
Mujh Se Larna Hai Tou Fouj Aur Manga Aur Manga
Ashal E Zeerak O Hoshiyar Kuchal Dale Ga
Itna Laskar Mera Rahwar Kuchal Dale Ga

Hai Mere Waar Ki Raftar Hawa Ko Maloom
Khadima Teg E Ali Hai Mere Hamle Makhdom
Sabhi Jurat Ki Saafon Main Hai Azal Se Meri Dhoom
Jism Jab Hone Lage Ge Abhi Jan Se Mehroom
Har Shujat Ke Dhani Ibne Wali Aye Hain
Tum Ye Kehte Hue Bhago Ge Ali Aye Hain

Apne Dil Main Hai Jawan Fatah E Khyber Ki Umam
Sang Ko Moom Kare Hum Tou Kabhi Moom Ko Sang
Zindagi Lamhon Main Be Deeno Pe Hojaye Gi Tang
Bhool Jao Ge Abhi Rustam O Sohrab Ki Jang
Hum Jo Talwar Ke Qabze Main Kalayi Dein Ge
Un Ke Ajdad Bhi Qabron Se Duhayi Dein Ge

Leave a Comment

error: Content is protected !!