Search

Baba Ki Wasiyat

Ikkees Ki Shab Aakhri Saanson Ka Hai Qissa
Aulad Ko Hasrat Se Ali Maula Ne Dekha

Dil Phatne Laga Dekha Jo Zainab  Ne Ye Girya
Maula Ne Tarapte Hue Ghazi Ko Pukara

Bole Ke Ayy Abbas  Bhale Jaan Lutana
Ye Hukm Mera Aakhri Dam Tak Na Bhulan

Baba Ki Wasiyat Hai Isa Dil Main Basa Le
Ghazi Meri Zainab Ki Rida Tere Hawale

Abbas  Tum Ab Uski Rida Ban Ke Dikhana
Kurte Tere Jis Ne Hain Bari Dair Sambhale

Zainab Ke Kabhi Naqsh e Qadam Dekho Tu Ghazi
Suraj Se Bhi Kehna Ke Nazar Apni Hata Le

Shabbir  Sa Zainab  Ko Bicharne Nahi Dena
Zahra  Ne Ye Dono Hain Bare Naaz Se Paale

Zainab Ne Suna Ro Ke Kaha Baba Ne Ghazi
Zanjeer Na Zainab  Ke Koi Haath Mein Daale

Zainab Ne Kaha Baba Mere Ghazi Ke Hote
Jurrat Hai Kisa Koi Mujhe Qaidi Bana Le

Maula  Ne Kaha Waqt Badal Jate Hain Beti
Ehsaas Nahi Karte Kabhi Lutne Wale

Ghazi Ne Kaha Jon Tab Tak Hoon Mein Muhafiz
Jab Tak Ye Mere Bazu Koi Kaat Na Daale

Leave a Comment

error: Content is protected !!