Karbobala Basa Ke Ye Zainab Sa Ne Di Sadaa
Baba Main Lut Gayi
Nazrain Mila Na Payenga Aik Dosra Sa Hum
Ayy Mere Baba Jaan Tumhe Abbas Ki Qasam
Aankhain Na Kholna Mere Sir Par Nahi Ridaa
Pahle Ke Jaisi Aapki Beti Nahi Rahi
Pehchane Main Aap Ko Kuch Dair Youn Lagi
Benaai Bhi Gayi Meri Akber Bhi Chal Basa
Sar Rakh Ke Zakhmi Seene Pe Royi Wo Tishnakam
Akber Ne Kar Diya Mere Parda Ka Intezaam
Chehra Pe Khoon Hai Mere Kariyal Jawaan Ka
Ujhri Hai Aik Rooz Main Amma Ki Kainaat
Kitna Janaza Utha Hain Is Ghar Main Aik Saath
Bikhri Hui Hai Dasht Main Tasbeh e Fatima Sa
Shahzadiyun Ki Tarhan Sa Rakha Tha Aapne
Jate Huaye Hussain Ko Soonpa Tha Aap Ne
Wo Dekhiye Sinaa Pe Hai Sar Mere Bhai Ka
Baba Najaf Qareeb Hai Har Sham Aoungi
Main Qabar Par Hussain Ki Shamma Jalaoungi
Tum Sath Apne Le Chalo Ab Kon Hai Mera
Ye Kehte Kehte Mir Takallum Wo Ro Pari
Abid Ko Jalte Khaimon Sa Layi Hon Main Abhi
Beton Ka Imtehan Bhi Beti Ne De Diyaa
