Baba Mujha Mara hai 

Baba Mujha Mara Hai Khoon Nikla Hai Bohat Mara Hai
Chehra Mera Khud Dekho Kitna Mara Hai Bohat Mara Hai

Apne Bachon Ko Mujha Dekha Kar Chupate Hai
Mere Chehre Ki Halat Sa Wo Dar Yun Jate Hai
Phoolon Sa Nazook Chehra yun Ujara Hai

Hoti Be Hosh Hon Baba Main Tamachon Se Agar
Hosh Bhi Mujh Ko Tamachon Se Dilata Hai Shimar
Aisa Sulata Hai Mujhe Yun Jagata Hai

Foj Jo Sar Ko Tere Kat Kar Na Le Ati
Main Teri Lash Per Ro Ro kar Wahi Mar Jati
Ab Tu Tamacho per Mera Bas Guzara Hai

Jis Ka Ghazi Sa Chacha Ho Wo Tamacha Khaye
Nanhi Zulfoon Se Pakar Kar Bhi Samne Laye
Hansta Huye Shimar Kahe Main Ne Mara Hai

Janta Tha Ye Shimar Hon Main Ladli Teri
Iss Liye Us Ne Bigari Hai Ye Surat Meri
Kyun Ke Mera Ye Chehra Tujh Ko Pyara Hai

Khol Kar Band e Lehad Chehra Behan Ka Dekha
Apni Zanjeer Ko Chehra Par Mar Kar Ye Kaha
Likh Salamt Sab Sa Zayad Mara Hai Boht Mara Hai

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *