Bas Ali Suno

Har Ik Baat Hijabaat Ki Sunata Hoon
Jo Mustafa Se Suna Hai Wohi Sunata Hoon
Diya Hai Izn Mujhe Bhi Janab-e-Meesum Ne
Farishto Aao Main Tum Ko Ali Sunata Hoon
Ali Suno, Ali Suno Bas Ali Suno
Jo Aaj Tak Nahi Suna Suno Woh Aaj Hi Suno

Khuda Ke Ghar Ki Samt Jab Ali Ki Walida Barhi
Haram Ki Ik Jidar Ne Ali Ki Manqabat Parhi
Woh Jis Ka Intezar Tha Woh Raat Aa Gayi Suno

Sajod Se Kahin Boland Iss Ka Ayhteram Hai
Khuda Hi Janta Hai Iss Ali Ka Kya Maqam Hai
Zameen Pe Jis Ke Wastay Batool Aa Gayi Suno

Sifaat Apni Dein Haram Issi Ke Naam Kar Diya
Khuda Ne Apna Naam Bhi Ali Ke Naam Kar Diya
Khuda Ke Pas Kuch Nahi Ali Se Qeemati Suno

Kalam-e-Kibriya Bhi Our Zaban-e-Kibriya Hai Yeh
Khuda-o-Mustafa-o-Jibreel Ko Pata Hai Yeh
Hai Kaun Bhaijta Raha Rasool Par Wahi Suno

Hasan Hussain Par Bhi Hai Rasool Par Bhi Farz Hai
Yeh Aisa Wajib Hai Keh Jo Batool Par Bhi Farz Hai
Issi Gawahi Se Har Ik Nabi Howa Nabi Suno

Kiya Hai Oss Ne Arsh Pe Ada Youn Haq-e-Fatima
Abhi Zameen Par Nuzool-e-Syeda Nahi Howa
Sana-e-Fatima Ali Ne Loh Par Likhi Suno

Bana Hoon Jis Ke Wastay Woh Raaz Parh Raha Hoon Mein
Azal Se Bas Yeh Ishq Ki Namaz Parh Raha Hoon Mein
Hai Soam Bhi Salat Bhi Hai Hajj Mera Yehi Suno

Naseeb Ke Nahi Hain Yeh Nasab Ke Hi Qasoor Hain
Hain Shajrey Jin Ke La Pata Ali Se Door Door Hain
Har Aik Ko Mili Nahi Ali Ki Dosti Suno

Ho Arsh Par Tu Loh Our Qalam Hai Iss Ke Hath Mein
Ho Farsh Par Tu Taig Our Alam Hai Iss Ke Hath Mein
Ali Ke Hath Mein Hai Zindagi Bhi Maut Bhi Suno

Aye Mohsin Iss Ko Bant De Yeh Saaton Ka Rizq Hai
Yeh Nemat-e-Azeem Hai Samaton Ka Rizq Hai
Ali Ka Zikar Hi Faqat Giza Hai Rooh Ki Suno

Leave a Comment

error: Content is protected !!