Zameen Hai Arsh Muqadar Batool Ke Ghar Mein
Hai Khak Noor Ki Humsar Batool Ke Ghar Mein
Abu Turab Ke Pairon Se Mas Hue Honge
Khuda E Pak Ne Gohar Bana Diye Honge
Mila Na Aik Bhi Kankar Batool Ke Ghar Mein
Farishtay Jin Ka Bohat Ayhteram Kartay Hain
Jo Aayaton Ki Zabaan Mein Kalam Kartay Hain
Hain Aisi Shan Ke Nokar Batool Ke Ghar Mein
Salam Aap Ke Sajday Ko Sar Jhukanay Ko
Bataya Madar E Abbas Ne Zamane Ko
Ke Aisay Aana Hai Jhuk Kar Batool Ke Ghar Mein
Kisi Sahabi Na Zojah Ke Ghar Hai Sarwar Ko
Sakoon Jo Milta Hai Allah Ke Ghar Payamber Ko
Wohi Sakoon Hai Mayassar Batool Ke Ghar Mein
Nabi Ki Aal Se Un Ka Mawazna Kaisa
Agar Hai Dekhna Rutba E Mariyam O Esa
Tou Dekh Fizza O Qambar Batool Ke Ghar Mein
Koi Shifa Tou Koi Rizq Paney Aata Hai
Koi Hussain Ka Jhula Jhulaney Aata Hai
Farishtay Aate Hain Din Bhar Batool Ke Ghar Mein
Khudaya Bas Yehi Hasrat Hai Joan O Mohsin Ki
Ke Muntazir Hain Ye Aankhein Faqat Ussi Din Ki
Khushi Jab Aaye Palat Kar Batool Ke Ghar Mein
