Haaye
Jo dard Fatima ne Ali se chupaaye hain
Tanhaayi mein kaneez ko apni sunaaye hain
Batool ro parin Fizza ko ye batate huwe
Batool ro parin Fizza ko ye batate huwe
Hasan ne dekha hai mujh ko
Tamaachay khatay huay.
Batool ro parin
Na jaane kya kiya zaalim ne Fatima pe sitam
Zaeef ho gayi beti Rasool ki ik dam
Sanad ke tukroan ko darbaar mein uthatay huwe
Batool ro parin
Main aaj shehr e Madina ko hee mita doongi
Agar Ali ko na chora to baddua doongi
Kahan Batool ne sar se rida hatatay huwe
Batool ro parin
Jo mujh pe guzri hai mujh se na ho sakay gi bayaan
Wo dekho ab bhi hain dewaar par lahu ke nishaan
Main dekhti hoon inhain roz aatay jaatay huwe
Batool ro parin
Bataaya sab ko jo mafhoom hai wilayat ka
Laboan pe shikwa na bint e Rasool ki aaya
Ali Ali hi kiya taaziyaane khatay huwe
Batool ro parin
Wo mujh se chup ke meri be kasi pe rota hai.
Khayal rakhna ye naazuk mizaaj beta hai.
Meray janazay se Shabbir ko hatatay huwe
Batool ro parin
Abul Hasan ko tha patkay se main ne thaama huwa
Magar laeen ne durray se yun mujhay maara
Zameen pe gir gayi Fizza main lad khadhate huwe
Batool ro parin
Ba roz e hashr main Mehdi ko ye bataaongi
Tamaam pasliyaan tooti hain is liye meri
Laeen ne maara tha thokar se aatay jaatay huwe
Batool ro parin
Mera fareeza nibhayegi laadli meri
Ghiray ga sholoan mein jis waqt aik aur Ali
Chalay gi aag pe Zainab usay bachaatay huwe
Batool ro parin
Padar ki qabr pe Akbar wo ro ke kehti thi
Hifaazat aap ne mujh ko Ali ki soanpee thi
Tamaachay main ne hain khaaye unhain bachaatay huwe
Batool ro parin Fizza ko ye batatay huwe
