Bazar Aa Raha Hai

Beemar Mar Na Jaye Bazar Aa Raha Hai
Ummat Hijab Main Hai Sydani Be Rida Hai

Sajjad Ke Badan Ka Har Zakhm Ro Raha Hai
Kufa Ki Shehzadi Kufa Main Be Rida Hai
Sadaat e Fatima Par Kya Waqt Aa Gaya Hai

Zahra Ki Betiyon Ke Cheena Gaye Hain Parda
Ab Chadron Ke Badla Koi Kafan Urha De
Abid Janaza Le Kar Bazar Mein Khara Hai

Hathoon Mein Sham Wale Pathar Liye Huye Hain
Ik Jashan Ka Samaa Hai Roshan Diye Huye Hain
Dil Bhujhta Ja Rahe Hain Yeh Sham Ki Howa Hai

Bardasht Iss Sitam Ko Koi Kare Ga Kaisa
Beta Ke Aagaye Khaye Aik Baap Taziyane
Baqir Ka Imtehaan Tu Sajjad Se Bara Hai

Jari Lahu Hai Sar Se Kya Waqt e Bekasi Hai
Naizay Pe Sheh Ke Sar Ko Hasrat Se Dekhti Hai
Zainab Ko Raste Main Pathar Jahan Laga Hai

Maqtal Main Terah Zarbain Shabeer Par Chali Hain
Na Mehramo Ki Nazrein Zainab Pe Par Rahi Hain
Charon Taraf Se Khanjar Bibi Pe Chal Raha Hai

Ye Qafila Haram Ka Zindan Tak Aa Gaya Hai
Suraj Yeh Badilon Main Chup Chup Ke Pochta Hai
Be Jurm Qaidiyon Ko Saya Kahan Mila Hai

Shabbir Ki Sakina Bazar Se Hai Guzri
Itna Laga Hain Pathar Pehlu Huwa Hai Zakhmi
Pehchana Hai Mushkil Wo Haal Ho Gaya Hai

Haye Roye Hain Khoon Takallum Chalees Saal Maula
Sansein Bhi Chal Rahi Thin Lekin Nahi They Zindah
Sajjad Ka Tu Maqtal Darbar Sham Ka Hai

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *