Bazar e Sham Tak

Zainab Thi Be Rida Sar e Bazar e Sham Tak
Thera Nahi Sina Pe Alamadar e Sham Tak

Aal E Nabi Ke Khoon Se Jo Rangeen Jo Na Ho
Aisi Nahi Thi Koi Bhi Deewar Sham Tak

Bhai Kai Qatilon Sai Jo Karna Padha Kalaam
Zainab Hui Qatl Kayi Bar Sham Tak

Badle Ali Wali Kai Huwain Subho Sa Shuroo
Zainab Ko Marte Rahain Aghyar Sham Tak

Abid Ko Martain Rahain Pathar He Kalma Go
Chadar He Magnta Raha Beemar Sham Tak

Untho sa Gir Rahi Thi Jo Maaon Ko Chor Kar
Wo Bacha Dafn Karte The Rahwar Sham Tak

Ye Dastaan Sham e Gharibaan Faqat Nahi
Luta Gaya Husain Ka Ghar Bar Sham Tak

Maon Ke Hath Thain Pas e Gardan Bandain Huwa
Pathar Baras Rahain Thain Laga Tar Sham Tak

Mohsin Nishan Jis Per The Khoon e Hussain Ke
Umat Wo Chumati Rahi Talwar Sham Tak

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *