Bazar Main Zainab Nay

Bazaar Main Zainab Ne Marne Ki Dua Maangi
Jab Sham Ke Logon Se Abid Ne Rida Maangi

Rukhsaar Sakina Ke Kuch Aur Huwe Neele
Jab Saaye Main Aane Ki Bachi Ne Riza Maangi

Jo Raah Main Chubte Thay Abbas Ki Behno Ko
Un Kaanton Ne Khud Rokar Mehdi Se Saza Maangi

Apne Liye Dono Ne Ummat Se Na Kuch Maanga
Zainab Ne Kafan Maanga Sarwar Ne Rida Maangi

Ehsaas e Yateemi Phir Hone Laga Zainab Ko
Jab Ghazi Ne Bibi Se Marne Ki Riza Maangi

Zaalim Ne Talab Ki Hai Wo Bachi Kaneezi Main
Shabbir Jo Beti Tujhse Ayy Khuda Maangi

Ya Rab Mujhe Dikhlaa De Kaisi Hai Meri Sughra
Ye Aakhri Hichki Main Akbar Ne Dua Maangi

Rakh Deti Thi Haath Apne Maa Bachi Ke Honton Par
Jab Bali Sakina Ne Marne Ki Dua Maangi

Sughra Ne Duaon Main Sajjad Na Kuch Maanga
Bad e Ali Akbar Jo Maangi Ko Khaza Maangi

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *