Haye Sughra Haye Haye Sughra
Yasrab Se Shah E Deen Jo Soo E Karbala Chale
Ba Hasrat O Masaib O Aah O Buka Chale
Israr Tha Ye Fatima Sughra Ka Shah Se
Baba Khudara Sath Mujhe Le Ke Jaiye
Sun Kar Ye Fughan Ye Fatima Sughra Se Bole Shah
Beemar Hai Tu Sughra Batla De Mujhe Itna
Le Jaon Tujhe Kaise
Asan Nahi Beta Raahon Ki Jafa Sehna
Har Gaam Musibat Hai Raahon Mein Aziyat Hai
Tu Chal Nahi Paye Gi Kanton Pe Musafat Hai
Tu Ghar Ka Ujala Aye Sughra
Tu Surat E Zahra Aye Sughra
Kar Sabr Ka Yara Aye Sughra
Kar Zabt Khudara Aye Sughra
Tu Seh Nahi Paye Gi Hai Sakht Safar Beta
Hum Ko Hai Jahan Rukna Pur Haul Hai Wo Sehra
Kehte Hain Jise Karbal Hum Ko Hai Wahan Lutna
Har Samt Qaza Hai Aye Sughra
Na Aab O Ghiza Hai Aye Sughra
Karbal Wo Jaga Hai Aye Sughra
Bas Zulm O Jafa Hai Aye Sughra
Is Gham Se Tou Behtar Hai Tu Ghar Mein Rahe Tanha
Le Goud Mein Asghar Ko Is Nanhe Musafir Ko
Jee Bhar Ke Tu Aye Sughra Ab Dekh Le Akbar Ko
Ek Mera Gul E Tar Aye Sughra
Ek Shakl E Payambar Aye Sughra
De Rukhsat Mil Kar Aye Sughra
Tayar Hain Dilbar Aye Sughra
Ye Qafila Jata Hai Ab Janib E Karbobala
Soyi Ek Din Sughra Aur Khuwab Mein Ye Dekha
Lutta Hai Bhara Kunba Shabbir Hue Tanha
Kehte Thy Tarap Kar Aye Sughra
Meri Pyari Dukhtar Aye Sughra
Tu Dekh Ye Manzar Aye Sughra
Koi Nahi Yaawar Aye Sughra
Ab Jaan Liya Tu Ne Main Is Liye Kehta Tha
Ghabra Ke Uthi Muztar Nani Se Kaha Ro Kar
Dekha Hai Abhi Maine Kehte Thy Yehi Sarwar
Ab Mere Gale Par Aye Sughra
Chalne Ko Hai Khanjar Aye Sughra
Koi Nahi Yawar Aye Sughra
Mare Gaye Dilbar Aye Sughra
Ye Soch Ke He Maine Bola Tha Tujhe Beta
Shabbir Ka Jab Kunba Nana Ke Shehar Pohuncha
Farhan Aur Safdar Ye Zainab Ne Kaha Sughra
Barbad Hua Ghar Aye Sughra
Hua Qatl Baradar Aye Sughra
Abbas Aur Akbar Aye Sughra
Koi Nahi Sar Par Aye Sughra
Is Wastay Bhai Ne Bola Tha Tujhe Beta
