Bekasi Ka Sheh Ki Charcha Reh Gaya
Mujrai Mahman Peyasa Reh Gaya
Bekasi Ka Sheh Ki Charcha Reh Gaya
Sub Huwe Sairab Tujh Se Ay Fraat
Kafala Yasrab Ka Paiyasa Reh Gaya
Zohar Tak Jab Fouj Puhnchi Khuld Main
Sahib e Lashkar Akela Reh Gaya
Iss Qadar Tha Khushk Hazrat Ka Gala
Khanjar E Qatil Bhi Pyasa Reh Gaya
Dagmaga Kar Jab Gire Ghoure Shah
Kaap Kar Arsh E Mualla Reh Gaya
Kahti Thi Maa Soye Asghar Kabar Main
Haye Khali Un Ka Jhoola Reh Gaya
Zakhm Khate Hi Jo Akbar Gir Pare
Chidd Ke Barchi Main Kaleja Reh Gaya
Jab Huwi Bey Parda Aulad E Rasool
Phir Jahan Main Kis Ka Parda Reh Gaya
