Jab Chali Talwar Haaye Zehar Mein Doobi Hui
Sar Shikasta Ho Gaya Uth Na Sake Maula Aliؑ
Thay Sarhane Shabbirؑ O Shabberؑ Aur Abbasؑ Bhi
Baap Ko Jab Betiyon Ki Yaad Aayi Us Ghari
Dekh Kar Beton Ka Chehra Ye Aliؑ Kehne Lage
Waqt Kum Hai Betiyon Ke Paas Le Jao Mujhe
Dekh Kar Zainabؑ Ko Meri Saans Mein Saans Aayegi
Dekh Kar Kulsoomؑ Ko Ye Zindagi Barh Jayegi
Baap Kuch Din Aur Jee Le Betiyon Ke Samne
Zakhm Zarbat Ka Wahan Par Dekhna Zahir Na Ho
Khoon Sar Se Saaf Karke Phir Amaama Baandh Do
Betiyan Ghabra Na Jaayein Meri Haalat Dekh Ke
Haye Phir Shabbirؑ Se Rote Hue Bole Aliؑ
Wo Agar Maange Tu De Dena Nishani Baap Ki
Ye Musalla Sath Rakh Lo Meri Zainabؑ Ke Liye
Is Liye He Baap Se Beti Ka Hai Rishta Ajaab
Betiyan Hain Baap Ki Mayyat Pe Roanak Ka Sabab
Khush Naseebi Hai Khuda Beti Ata Karde Jise
Apne Baba Ke Janaze Par Jo Royain Fatimaؑ
Us Ghari Main Apni Zainabؑ Ke Liye Rota Raha
Kitna Mushkil Hai Bicharna Betiyon Ka Baap Se
Kal Main Jab Kulsoomؑ Ke Ghar Se Chala Rone Lagi
Mere Seene Se Lipat Kar Mujhse Ye Kehne Lagi
Jaa Rahe Hain Laut Kar Phir Aayen Gain Kab Ghar Mere
Le Chalo Ab Betiyon Se Door Main Kaise Rahoon
Zainabؑ O Kulsoomؑ Ke Ja Kar Main Shaanay Choom Loon
Haan Isi Kufa Main Honge Hath Dono Ke Banrhe
Dekh Kar Abbasؑ Ka Chehra Aliؑ Ne Ye Kaha
Samne Rehna Hamesha Oarh Kar Meri Aba
Betiyan Jeeti Rahein Chehra Tumhara Dekh Ke
Haye Zeeshan O Raza Jab Hukm Baba Ka Suna
Ghar Ki Janib Le Chale Bete Ba Sad Aah O Buka
Aur Aliؑ Beton Se Ro Ro Kar Yehi Kehte Rahe
