Bhai Ka Lasha

Bhai Ko Khuda Bhai Ka Lasha Na Dikhaye
Lashe Pe Alamdar Ke Sheh Kehte Thy Haye
Bhai Ko Khuda Bhai Ka Lasha Na Dikahye

Kya Sani E Zahra Ko Main Batlaun Ga Bhaiya
Main Lash Se Uth Kar Tou Nahi Jaon Ga Bhaiya
Ab Shimr Yahin Aa Ke Churi Mujh Pe Chalaye

Phat Jaye Ga Gham Se Mera Dil Tham Lo Abbas
Ab Dair Bahot Ho Gayi Ghar Ko Chalo Abbas
Aisa Na Ho Maqtal Mein Sakina Chali Aaye

Ab Hathon Main Larza Hai Kahan Jan Rahi Hai
Mazloom Ki Ghurbat Mein Kamar Toot Gayi Hai
Ya Rab Kisi Dushman Pe Bhi Ye Waqt Na Aye
Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka
Abbas Pani Lao Abbas Pani Lao

Hathon Mein Khali Kooze Bache Liye Hue Hain
Gird E Sakina Dekho Halqa Kiye Hue Hain
Bache Na Jane Kab Ka Pani Piye Hue Hain
Bin Aab Mar Na Jayein Pani Inhein Pilao
Abbas Pani Lao Abbas Pani Lao

Pehlu Mein Sada Main Ne Bithaya Tumhein Bhai
Jis Bhai Ne Goudi Mein Uthaya Tumhein Bhai
Wo Bhai Bhala Kaise Teri Lash Uthaye

Maa Behnein Hain Hum Shakl E Payambar Ke Hawale
Main Mashk O Alam Karta Hoon Akbar Ke Hawale
Himmat Nahi Shabbir Mein Jo Khaimon Mein Jaye

Sadaat Hain Ye Sham Ke Lashkar Ko Batao
Jate Hue Ye Shimr Se Kehte Hue Jao
Wo Meri Sakina Ko Tamache Na Lagaye
Toot Gayi Aas Meri Toot Gayi Aas

Han Dair Hui Mere Chacha Jan Ko Sidhare
Akbar O Baba Hain Gaye Nehr Kinare
Amma Mera Qalb Jala Pyas Ke Mare
Toottay Jate Hain Mere Dill Ke Sahare

Toot Gayi Aas Meri Toot Gayi Aas

Akbar Ko Abhi Jane Do Hum Ne Tou Kaha Tha
Aulad Tou Mil Jati Hai Bhai Nahi Milta
Shabbir Kahan Se Tumhein Ab Dhoondh Ke Laye

Sadaat Ye Kehte Hain Ke Hum Pyase Rahein Ge
Tum Ne Na Piya pani Tou Hum Bhi Na Piyen Ge
Allah Humein Pyasa He Duniya Se Uthaye

Mur Mur Ke Takay Jate Thy Abbas Ka Lasha
Girte Kabhi Uthte Thy Takallum Shah E Wala
Akbar Bari Mushkil Se Sambhale Hue Aaye

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *