Bhaiya Ghareeb Zainab Tera Kafan Na Laayi
Laash e Hussain Par Hai Zainab Ki Ye Duhayi
Misl e Batool Haq Se Mehroom Hoon Main Ab Tak
Shabbir Tere Gham Main Maghmoom Hoon Main Ab Tak
Tarpa Rahi Hai Mujh ko Abbas Ki Judaai
Afsos Ke Sakina Naazon Se Jo Pali Hai
Jo Tum Ko Yaad Kar ke Zindan Main Chal Basi Hai
Usko Mili Na Bhaiya Zindan Se Rehaai
Hum Par Sitam Aye Bhaiya Dhaate Rahe Sitamgar
Saydaniyo Ke Sar Main Aati Thi Khaak Udkar
Bazaar Ka Wo Manzar Zainab Na Bhool Paaye
Baalon Se Mun Chupa kar Bazaar Main Gayi Thi
Narghey Main Ashkiyan Ke Be Parda Mai nKhari Thì
Guzri Hai Kya Behan Par Kaise Bataun Bhai
Sajjad Ke Ye Sar Par Dushwaar Marhala Tha
Zanjeer Ko Sambhale Bemaar Ro Raha Tha
Aale Nabi Khule Sar Darbar Main Jo Aayi
Sab se Bari Musibat Kya Hai Kisi Ne Poocha
Bemaar Sar Jhuka Kar Rote Huwe Ye Bola
Behno Ka Shaam Jaana Zainab Ki Be Ridaye
Is Ek Saanahe Par Aksar Mohib Ne Socha
Barbaad Hogaya Jab Aale Nabi Ka Kunba
Baad E Hussain Kyun Kar Baaqi Rahi Khudaai
