Bhare Bazar Se Jab Zainab E Dilgeer Guzregi
Har Ek Majme Se Pehle Chadar E Tatheer Guzregi
Laeen Ek Dusre Ko Yeh Sar E Bazar Kehtey The
Yaha Se Sar Khule Abbas Ki Humsheer Guzregi
Guzar Kar Jayenge Abid Jaha Se Sang Bhari Me
Wahi Se Khoon Me Doobi Hui Zanjeer Guzregi
Na Hoga Bhai Jab Bazar Me Rasta Banane Ko
Ali Ki Laadli Karte Hue Takreer Guzregi
Galay Se Teer Neza Jab Guzar Jayega Seene Se
Ali Asghar Ki Phir Gardan Se Ek Shamsheer Guzregi
Ali Akbar Ki Mayat Pe Phare Ge Khat Tera Mola
Tere Qasid Ko Sugra Ane Main Takhir Guzary Gi
Hai Jis Naizy Pe Sar Asghar Ka Us Ke Pas Hai Akbar
Na Jane Kis Tarha Se Mader E Besheer Guzary Gi
Written By: Hassnain Akbar & Saqlain Akbar
Soz: Asghar Abbas Khan (Late)
Matami Sangat: Guldasta E Jafferia
