Bhare Darbar Main Roti Rahi Khari Zahra

Bhare darbar main rooti rahi khari zahra
Na jane kis tarha haq mangti rahi zahra

Sanad key tukre hawa mein urra key hansne laga
Rasool zadi sey zaalim aise kehne laga
Bata wo konsi jageer hai teri zahra

Hassan Hussain sey sachay gawah bhi jhutlaye
Rula key bibi ko zaalim zara na sharmaye
Bhula na paye gi ummat ki bey rukhi zahra

Ye uski beti hai jisne dou lakht chaand kiya
Wo jiske noor ney har roshni ko maand kiya
esay satao naa dukhyari hai baari zahra

Nabi key baad ye kya hogaya zamane ko
Kyun kalma go hain chale tera ghar jalane ko
Sahe gi kis tarha u ye sitamgari zahra

Siyah baal jo maa kay safaid tar dekhay
Tauqeer kaise kahun betiyon ne sar peetay
Gaye thi jis tarha ghar hai thaaki thaaki zahra

Leave a Comment

error: Content is protected !!