Chote Hazrat Ki Baargaah Chalo
Chalo Abbas Ki Dargaah Chalo
Inki Dargaah Se Saughaate Wafa Milti Hai
Naame Zainab Pe Yahaan Sabko Rida Milti Hai
Zairon Aawo Sakina Ki Dua Milti Hai
Mere Saqqe Ke Azaadaar Jiyo
Han Yehi Babe Hawaaye Hai Dua E Zehra
Ye Ali Ka Hai Sarapa Tu Hassan Ka Chehra
Inko Kehte Hai Hussain Ibne Ali Ka Pyara
Panjatan Paak Ke Pyare Se Kaho
Inki Dargha Pe Han Inki He Parcham Ke Tale
Khwaja Ajmar Bhi Shahbaz Qalanad Bhi Mile
Inke Dar Per Shahon Ke Jhuka Sar Bhi Mila
Tum Yahan Akkar Farishon Sa Milo
Hazari Inki Jab Hoti Hai Diye Jalte Hain
Mustafa Fatima Hasnain O Ali Aate Hain
Milke Sab Madar e Abbas Se Farmaate Hain
Aawo Abbas Ki Tum Nazr Tu Do
Inka Jab Aat Moharram Ko Alam Uthta Hai
Ek Mashkeeza Bhi Panjha Se Bandha Rehta Hai
Uspe Saqqa Sakina Bhi Likha Rehta Hai
Ye Alam Kya Hai Sakina Se Suno
Jisne No Laakh Ke Lashkar Ka Bharam Toar Diya
Uspe Ek Mashk Ke Chidne Ne Sitam Toar Diya
Ya Sakina Kaha Aur Khaak Pe Dam Toar Diya
Milke Sab Maatame Abbas Karo
Zamine Chadar e Zainab The Alamdare Wafa
Jis Ghari Saniye Zehra Se Ye Fizza Ne Kaha
Chadare Apni Sambhaalo Ke Wo Ghazi Na Raha
Pursa Ab Zainab O Kulsum Ko Do
Chote Hazrat Ki Ghulaami Ka Sharaf Paya Hai
Rabbe Kaaba Ki Qasam Ye Bara Sarmaya Hai
Nauha Jo Sarwar O Rehaan Se Parhwaya Hai
Shukr e Maula Chalo Ghazi Se Kaho
Chote Hazrat Hussain Ke Bhai
Chote Hazrat Ba Haqqe Saqqaayi
Tum Waseela Ho Gham Ke Maaron Ka
Tum Waseela Ho Be Sahaaron Ka
Baargaahe Khuda Me Ay Ghaazi
Aapki Baat Rad Nahi Hoti
Dil Ki Uljhan Nikaal Do Maula
Meri Mushkil Ko Taal Do Maula
Ye Gunahgaar Bhi Tumhaara Hai
Is Liye Aap Ko Pukaara Hai
Dard Ki Ab Koyi Dawa Bhejo
Ab Mujhe Karbala Bula Bhejo
Waasta Sayyade Madina Ka Waasta
Zainab O Sakina Ka Bibi Ummul Baneen Ka
Sadqa Waasta Panjetan Ka Deta Hun
Waasta Bekafan Ka Deta Hun
Chote Hazrat Hussain Ke Bhaayi
