Churwa Do Humein Gham Se Yehi Waqt e Karam Hai

Ya Fatima Zehra Ya Fatima Zehra
Churwa Do Humain Gham Se Yehi Waqt E Karam Hai
Ya Fatima Zehra Tumhain Bachon Ki Qasam Hai

Aulad Ki Nemat Se Hain Mehroom Jo Maaeen
Be Sheer Ke Jhule Pe Wo Karti Hain Duain
Umeed E Karam Aap Ka He Bab E Karam Hai

Har Ranj O Bala Dur Rahe Hai Yehi Faryad
Shabbir Ke Matam Ke Liye Wo Rahe Aabad
Abbas E Alamdar Ka Jis Ghar Pe Alam Hai

Rizwan O Malaik Hain Pale Aap Ke Dar Se
Kyun Banda E Momin Bhala Phir Rizq Ko Tarse
Hatim Ka Nahi Ye Tou Dar E Shah Umam Hai

Sajjad Ke Sadqe Usay Azad Kara Dein
Sughra Ke Tasadduq Usay Apno Se Mila Dein
Momin Jo Koi Qaid Main Be Jurm O Sitam Hai

Dena Hai Mujhe Aap Ko Shabbir Ka Pursa
Bibi Mujhe Jaldi Se Bula Lejiye Madina
Sansein Ye Batati Hain Ke Ab Waqt Bhi Kam Hai

Khusiyon Ki Talab Aap Se Ki Hai Na Karein Ge
Hum Ap Ki Marzi Pe Raza Mand Rahain Ge
Darkar Hamain Aap Se Shabbir Ka Gham Hai

Hai Meri Dua Aap Se Aye Malika E Jannat
Sar Apna Utha Kar Wo Chale Taba Qayamat
Jis Jis Ki Jabeen Aap Ki Dehleez Pe Kham Hai

Aye Kufw E Ali Jald Inhein Kufwu Aata Kar
Arse Se Hain Bethi Hui Kuch Betiyan Ghar Per
Is Baat Ka Maa Baap Ko Har Alam Hai

Mehdi Se Lahad Aap Ki Dekhi Nahi Jaati
Ab Parda E Ghaibat Se Inhein Bhej Do Bibi
Ye Meri Duaon Main Dua Sub Se Aham Hai

Ye Kehte Hain Beemar Ke Mimbar Se Dua Do
Tum Zakir E Sarwar Ho Shifa Hum Ko Dila Do
Bibi Tere Hathon Main Takallum Ka Bharam Hai

Leave a Comment

error: Content is protected !!