Dafn Kaise Hui Zahra s.a

Haye Zahra Haye Zahra
Dafn Kaise Hui Zahra Ye Ali Jante Hain
Kaise Turbat Main Utara Ye Ali Jante Hain

Dar Ke Girne Se Hua Jis Ka Shikasta Pehlu
Pasliyan Zakhmi Thi Aur Toot Chukka Tha Bazu
Kaise Utha Wo Janaza Ye Ali Jante Hain

Samne Uske Tha Amma Ne Tamancha Khaya
Kitne Din Jane Hasan Kuch Na Kisi Se Bola
Wo Na Bhoole Ga Tamancha Ye Ali Jante Hain

Ghusl Dete Hue Zahra Ko Ali Rote Rahe
Ab Talak Hath Pe Zakhmo Ke Nishan Baqi Thy
Kis Ne Mara Tha Wo Durra Ye Ali Jante Hain

Pasliyan Toot Chuki Jab Ye Ali Ne Dekha
Karb Se Cheekh Ke Mola Ne Kaha Ya Zahra
Ghusl Kis Tarhan Diya Tha Ye Ali Jante Hain

Saans Lete Hue Takleef Se Karhati Thi
Dard Itna Tha Ke Karwat Bhi Na Le Pati Thi
Kab Se Soyi Nhi Zahra Ye Ali Jante Hain

Khud Tou Sab Seh Gayi Seh Na Saki Bete Pe Sitam
Mout Se Kam Na Tha Mohsin Ki Judayi Ka Gham
Kaise Ik Maa Ko Sambhala Ye Ali Jante Hain

Baap Ka Pursa Jise Dene Na Aya Koi
Roti Rehti Thi Jo Turbat Se Lipat Kar Bibi
Kitna Yaad Atay Thy Baba Ye Ali Jante Hain

Zakhm Kha Kar Bhi Wilayat Ki Hifazat Ki Hai
Jaa Ke Dar Dar Pe Yun Zahra Ne Gawahi Di Hai
Kitna Ehsan Hai Uska Ye Ali Jante Hain

Kitni Mazloom Thi Zakhmi Thi Nabi Ki Beti
Qabr Bhi Mola Ne Zeeshan Chupa Di Uski
Hai Kahan Marqad E Zahra Ye Ali Jante Hain

Leave a Comment

error: Content is protected !!