Jannat Dar E Ghazi Se Zyada Tou Nahi Hai
Aye Ishq Ye Nuqsaan Ka Sauda Tou Nahi Hai
Kis Dar Pe Qataro Mein Khare Hai Ye Farishte
Jibreel Ye Abbas Ka Roza Tou Nahi Hai
Kya Mashq E Sakina Mein Utha Le Gaye Abbas
Sahil Pe Fakat Rait Hai Dariya Tou Nahi Hai
Kat Kat Ke Gira Jata Hai Kyun Sham Ka Lashkar
Ghazi Ne Abhi Dekha Hai Maara Tou Nahi Hai
Firaon Na Ban Ab Bhi Madad Le Le Jari Se
Tu Doob Raha Hai Abhi Dooba Tou Nahi Hai
Maah E Bani Hashim Nazar Aata Nahi Tujh Ko
Tu Aql Ke Andhe Kahi Andha Tou Nahi Hai
Aapas Mein Ye Dar Dar Ke Laeen Puch Rahe Thy
Abbas Ka Larne Ka Irada Tou Nahi Hai
Har Saal Meri Maa Yehi Kehti Rahi Mujh Se
Matam Abhi Zanjeer Ka Waisa Tou Nahi Hai
Abbas Ne Seenay Se Lagaya Hai Tujhe Hur
Ab Aur Koi Dil Mein Tamanna Tou Nahi Hai
Musa Bari Unchayi Pe Hai Toor Tumhara
Lekin Dar E Abbas Se Uncha Tou Nahi Hai
Aata Hai Ye Jab Ghar Mein Tou Uth Jate Hain Sajjad
Ye Hazrat E Abbas Ka Beta Tou Nahi Hai
Jo Bhool Gaya Hurmat E Abbas Ko Sajjad
Koi Mera Apna Bhi Agar Tha Tou Nahi Hai
