De Ke Awaz Baap Ko Akbar
Sochte Hain Ke Aayenge Kaise
Larkhrate Hue Jo Aa Bhi Gaye
Haye Mere Lasha Uthayenge Kaise
Hur Ke Bete Ki Lash Par Hur Se Khe Rahe The Abhi Yahi Baba
Baap Lashe Jawan Uthata Nahi Iska Lasha Main Khud Uthaunga
Ab Wahi Marhala Hai Baba Par Mere Lasha Uthain Gain Kaise
Ek Meshar Bapa Tha Khaime Main Maa Se Jis Dam Gaya Tha Main Milne
Aake Baba Ne Us Ghari Daman Khud Churaya Tha Meri Baheno Se
Mera Daman Churana Aasa Tha Dil Se Barchi Churayin Gain Kaise
Fiqar Barchi Ki Kuch Nahi Mujh ko Dil Main Bas Ye Khayal Aata Hai
Apne Karyal Jawan Ke Lashe Par, Jeete Jee Baap Mara He Jata Hai
Iss Zaifi Main Ek Sath Pidar Do Janaze Uthayein Gain Kaise
Ab Main Samja Ke Kis Liye Baba Mere Seene Ko Chuma Karte The
Haye Yaad Aati Thi Unko Jab Sughra Meri Aakho Main Dekha Karte The
Gham Hai Ab Mera Meri Aakhon Main Mujh Sa Nazrain Milayein Gain Kaise
Ayna Ayna Ali Un Akbar Ki Ran Main Awaz Jab Wo Dete Hai
Haye Ghurbat Garibe Zehra Ki Dekh Ke Sham Wale Haste Hai
Rasta Un Ko Mujh Tak Aane Ka Phir Ye Qatil Batayein Gain Kaise
Qatl e Shabbir Ki Hai Tayyari Ran Main Chamka Rahe Hai Sab Khanjar
Haye Barchi Seene Main Hai Mere Lekin Itna Majbur Bhi Nahi Akbar
Sham Ke Log Mere Hote Hue Sheh Pe Khanjar Chalayein Gain Kaise
Aakhn Main Askh Lab Pe Noha Tha Aaye Takallum Ajib Lamha Tha
Haye Dil Main Wo Bar Bar Kahta Tha Aane Wala Hai Qasid e Sughra
Bhai Ki Lash Par Mere Baba Khat Bahen Ka Sunayein Gain Kaise
