Dhuwan Uth Raha Hai

Ghareebo Ki Shaam Aseero Ki Shaam
Piyaso Ki Shaam Shaam e Ghareeba
Jal Chuke Sadat Ke Khaime
Dhuwan Uth Raha Hai

Ujra Gharon Ki Sham Hai Tishna Labon Ki Sham Hai
Tute Dilon Ki Sham Hai Bujh Gaye Jitne Diye Thay

Kuch Dair Pehle Loot Ne Zalim Yahan Par Aaye Thay
Sab Ki Ridaye Le Gaye Reh Gaye Bas Jalte Khaime

Masnad Jali Jhoola Jala Bistar Bhi Abid Ka Jala
Khaimon Mein Aur Kya Kya Jala Aaj Phir Zehra Ke Ghar Se

Layi Bacha Kar Tishna Kaam Sholon Ki Zad Par Thay Imam
Zainab Ki Himmat Ko Salam Bistar e Zain Ul Abidin Se

Parda Nasheen Hai Khaak Basar Chota Bare Sab Noha Gar
Chup Hai Sakina Kyun Magar Is Yateema Ke He Dil Se

Har Su Udasi Chha Gayi Aal e Nabi Ghabra Gayi
Pehray Pe Zainab Aa Gayi Dekh Lo Abbas Aa Ke

Hathon Mein Le Kar HazriJab Hur Ki Zouja Aayi Thi
Sar Peet Kar Kehne Lagi Ho Gayi Takheer Mujh Se

Baba Se Zainab Ne Kaha Ab Aaye Ho Mushkil Kasha
Jab Mera Sab Kuch Lut Gaya Dekh Lo Khaimon Se Mere

Farhan O Mazhar Abidi Dasveen Ki Shab Dhalti Rahi
Aal e Nabi Roti Rahi Marsiya Zainab Ka Sun Ke

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *