Na Jaane Kyun Jo Muharram Ki Fiza Chaahne Lage
Dharkan E Dil Se Bhi Matam Ki Sada Aane Lage
Dil Ba Dil Seena Ba Seena Ye Aza Abaad Rahe
Ye Dua E Sayyeda Hai Ye Dua Abaad Rahe
Chahte Ho Tum Agar Kaaba Rahe Abaad Tu
Ye Dua Karte Raho Ke Karbala Abaad Rahe
Hai Dawa Har Marz Ki Shabbir Ke Qadmon Ki Khaak
Khaak E Paaye Shah E Deen Khaak E Shifa Abaad Rahe
Muntaqil Mujh Se Mere Bachon Main Ho Sheh Ki Aza
Nasl Main Meri Aza Ka Silsila Abaad Rahe
Ye Sabeelain Ye Azakhaan e Juloos O Majlisain
Ye Salaam O Marsiya Noha Sada Abaad Rahe
Parh Ke Quran Noak E Naiza Par Kaha Shabbir Ne
Hum Rahain Ya Na Rahain Zikr E Khuda Abaad Rahe
Ahl e Matam Zakhme Abid Yaad Rakhne Ke Liye
Matam E Zanjeer Ki Har Dum Sada Abaad Rahe
Hain Wafadaar e Sakina Jo Uthate Hain Alam
Ta Qayamat Unke Dil Main Ye Wafa Abaad Rahe
Nohakhwani Nohagoyi Hai Ata Shabbir Ki
Mesum O Salman Per Bhi Ye Ata Abaad Rahe
