Door Door Tak 

Rangin Hai Khoon Se Karb o Bala Door Door Tak
Qasim Ko Le Gayi Hai Qaza Door Door Tak

Ghazi Kahan Kahan Se Uthaye Tujhe Hussain
Bikhra Hua Hai Laasha Tera Door Door Tak

La La Ke Shamiyon Ne Giraye Hussain Par
Patthar Na Koi Ran Main Bacha Door Door Tak

Akbar Ki Lash Tak Kabhi Asghar Ki Lash Tak
Shabbir Kohniyon Per Chala Door Door Tak

Chalta Tha Shimr Baalon Se Thaama Sar e Hussain
Gardan Se Khoon Bahta Gaya Door Door Tak

Ghurabat Ke Pehle Mil Gaya Naizon Ko Sheer Khwaar
Maan Ne Bohat Talaash Kiya Door Door Tak

Baalon Se Pakray Daurtay Ghoron Ke Saath Saath
Masooma Ko Chalaya Gaya Door Door Tak

Kehta Tha Shimr Laen Naize Pe Itna Karo Buland
Sab Ko Dikhai De Ye Rida Door Door Tak

Zainab Ne Al Hijab Ki Maqtal Mein Sadaa
Akbar Ghubaar Urne Laga Door Door Tak

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *