Dua Fatima Ki Hum Ehle Aza Hai
Humein Aazmane Ki Koshish Na Karna
Muqallid Hai Mesam Ke Daar O Rasan Se
Kabhi Bhi Darane Ki Koshish Na Karna
Wilayat Ke Munkir Se Ye Keh Rahi Hai
Lahu Ki Taharat Sada De Rahi Hai
Najaf Ki Zameen Hai Saqifa Nahi Hai
Yahan Aap Aane Ki Koshish Na Karna
Wahan Bhi Ali Ne Ki Mushkil Kushai
Lehad Ke Sirhane Se Aawaaz Aayi
Azadar E Sarwar Hai Sone Do Isko
Farishto Jagane Ki Koshish Na Karna
Kajawo Ka Mimbar Banaya Nabi Ne
Ye Hukm E Khuda Hai Bataya Nabi Ne
Ali Ke Siwa Janasheen E Muhammad
Kisi Ko Banane Ki Koshish Na Karna
Musalsal Hai Pehra Wahan Ambiya Ka
Jahan Par Saja Hai Alam Bawafa Ka
Khabardar Keh De Koi Mushkilon Se
Wahan Aane Jane Ki Koshish Na Karna
Khuda Hukm Deta Hai Mere Muhammad
Kiye Jaye Sajdo Pe Sajde Muhammad
Hussain Aapki Pusht Par Aagaye Hain
Abhi Sar Uthane Ki Koshish Na Karna
Khuda Ki Qasam Shak Nahi Is Mein Koi
Nigehbaan Khud Hai Muhammad Ki Beti
Charagh E Azadari Jalta Rahega
Hawao Bujhane Ki Koshish Na Karna
Hai Naukar Ali Ka Azal Se Mizajan
Bigar Jaye Ga Misle Tufan Fauran
Takallum Ke Aage Uduw E Ali Ka
Qasida Sunane Ki Koshish Na Karna
