Dua Tu Mang Sakina Ka Wasta

Ayy Bab e Hawaij Mola Saqqa e Sakina Maula
Dua Tu Mang Sakina Ka Wasta Deke
Ye Kaise Hoga Ke Abbas Aur Ataa Na Kare

Alam Pe Jaake Sakina Ka Wasta Dena
Farera Thaam Ke Ghum Apne Sab Suna Dena
Jalana Naam e Sakina Ka Ek Diya Jaake

Alam Pe Jao Tu Bacho Ko Saath Le Jao
Wahan Sakina Ka Pursa Do Phir Dua Mango
Tumhare Haq Mein Sakina Jo Khud Dua Karde

Rida e Zainab e Muztar Ka Waasta Dena
Ghareeb e Zehra Ka Sharbat Pe Fatiha Dena
Duaein Maangna Haathon Main Baliyan Rakh Ke

Ata Kare Jo Khuda Mujh Ko Ek Ghar Apna
Rakhunga Ghar Mein Sakina Ke Naam Ka Hujra
Alam Ko Thaam Ke Mannat Ye Maan Le Roke

Jo Tune Mangli Aulaad Aur Ye Socha
Use Sakina Ka Saqqa Main Khud Banaunga
Niyat Ye Karli Jo Tune Duaon Se Pehle

Baland Bus Ye Aqeeda Hai Mazhar O Farhan
Husainiyo Ki Tu Raahat Ka Hai Yehi Saamaan
Jo Panjetan Ke Bhikaari Bano Salike Se

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *