Duayen Roke Karta Tha Ridayen Maangne Wala
Kahin Mil Jaaye Nah Yah Rab Koi Pehchanne Wala
Sar-e-Asgar Ko Patthar Maarne Aaya Hai Galliyon Me
Ali Asgar Ki Gardan Ka Nishana Baandhne Wala
Hua Jata Hai Chehra Zard Bachchi Chhupti Phirti Hai
Badha Hai Uski Jaanib Kya Tamache Maarne Wala
Koi Aabid Ko Bhai Bolne Wala Nahin Baaki
Nahin Zinda Koi Zainab Ko Bhi Maa Bolne Wala
Sabhi Qaidi Hain Yah Rab Bhejde Ab Aasmanon Se
Koi Sajjad Ki Aankhon Se Aansu Ponchne Wala
Elaahi Ek Jaise Hain Musalmanon Ki Nazron Me
Ridayen Lootne Wala Ridayen Baantne Wala
Ba-Zaahir Noke Naiza Par Sar-e-Shabbir Tha Akbar
Magar Mara Gaya Tha Woh Nabi Ko Paalne Wala
Poet: Saqlain Akbar, Hasnain Akbar
Soz: Asghar Abbas Khan
Matami Sangat: Guldasta-e-Jafferia Lahore
