Dukh Yeh Syeda Ne Jo Ali Ko Sunaya Hoga
Ap Ke Sabar Ne Allah Ko Rulaya Hoga
Batool Dunia Main Arsh Par Jo Kousar
Nabi Ke Sath Jahan Main Quran Ka Masdar hai
Hath Ummat Ne Us Pe Kaisy Uthaya Hoga
Zakhm Bhot Hain Magar Ek Zakhm Hai Gehra
Nishan Woh Hai Tamachy ka Our Mera Chehra
Kesy Beton Se Main ne Chahra Chupaya Hoga
Abhi Se Piyas Usy Rat Ko Jagati Hai
Baghir Maa Ke Usy Neend Kaha Ati Hai
Kaisy Shabbir Ko Zainab Ne Sulaya Hoga
Mere Janazy main Ya Ali Ne Aye Koi
Diya Mujh Ko Zakhm Phr Se Na Dukhane Koi
Jis Musalman Ne Mere Ghr Ko Jalay Hoga
Matami Sangat: Anjuman-e-Sipha-e-Ahle Bait Sialkot
Poet: Imran Ali Najfi
Soz: Qalb-e-Asgar, Sonu
