Ameer Esa Ka Jis Pa Gurbat ki Inteha Hai Faqat Ali Hai
Wo Jis Main Qatal e Batool Sehna Ka Hosla Faqat Ali Hai
Sadain Kufa Main Da Raha Hai Ali Sa Badale Abhi Chuka lo
Tumhari Mujrim Nahi Hai Zainab Tumhain Pata Hai Faqat Ali Hai
Begair Roye Wo Apni Dehleez or Dar Sa Nahi Guzarta
Jo Qatal e Ghaa e Batool Har Roz Dekhta Hai Faqat Ali Hai
Isa Khabar Hai Ka Zindagi Bhar Mana Saka Gi Na Eid Zainab
Jo Neend Sa Phr bhi Apna Qatil Jaga Raha Hai Faqat Ali Hai
Ghareeb Itna Hua Hai Haider Nahi Hai Rona ki Jaa Musayasr
Jo Ghar Main Beto Sa Chup Ka Ansoo Baha Raha Hai Faqat Ali Hai
Ye Zarb e Muljim na kya kiya hai Ka khoon Chehr pa Beh Raha Hai
Wo Jis Ka Chehr Pa Uska Noha likha hua Faqat Ali Hai
Na Dekha Baba ki Wo Aseeri Na Yad Zainab ko Sham Aye
Jo Dagh Rasi ka Betiyo Sa Chupa Raha Hai Faqat Ali Hai
Hai Aik Mohsin ka Zakhm e Taza Tu Aik Zahra Ka Zakhmi Lasha
Jo Aik Turbat Main Do Janaza Chupa Raha Hai Faqat Ali Hai
Ye Raaz Beshak Hai Raaz Mohsin Magar hai Gurbat ka ik Hawala
Janaza Apna Jo Khud Lehd Main Utarta Hai Faqat Ali Hai
