Har Nabi Hujjat E Kibriya Hai
Magar Fatima Fatima Hai
Zikr Quran Mein Sab Ka Hua Hai
Panjetan Ko Bana Kar Khuda Ne Kaha
Hai Mujassam Mashiyat Meri Mustafa
Meri Marzi Ka Malik Ali Murtaza
Meri Qudrat Hussain O Hasan Fatima
Khalq Pancho Ko Maine Kiya Hai
Tujh Pe Khul Jaye Ga Parh Hadees E Kisa
Kis Tarhan Panjetan Ka Taarruf Hua
Rab Ne Sabit Ye Hum Fatima Se Kiya
Aik He Zaat Hai Markaz E Innama
Khud Muhammad Bhi Zer E Kisa Hai
Ek Ki Khatir Haram Ko Sajaya Gaya
Ek Ke Hujre Ko Qibla Banaya Gaya
Ek Ke Bete Musalle Pe Aate Rahe
Ek Ko Kaabe Ke Andar Bulaya Gaya
Umme Haider Bhi Ek Fatima Hai
Samarrah Se Yehi Aa Rahi Hai Sada
Lailatul Qadr Ko Kon Samjhe Bhala
Saare Masoom Hai Hujjat E Kibriya
Hujjato Pe Hai Hujjat Magar Fatima
Hum Mein Har Ek Hijab E Khuda Hai
Main Taqabul Karu Kab Ye Auqat Hai
Har Haqeeqat Haqeeqat Ka Asbat Hai
Sirf Umme Abiha Woh Ek Zaat Hai
Maa Muhammad Ki Hona Bari Baat Hai
Bil Yaqeen Aamna Aamna Hai
Aagayi Fatima Aagayi Fatima
Jibraeel E Ameen De Rahe Hai Sadaa
Aagayi Fatima Aagayi Fatima
Aaaj Khush Hai Bohot Ashraful Ambiya
Gir Ke Qadmo Pe Sheh Ke Wo Kehta Raha
Aye Ghafoor Ur Rahim Aye Shah E Karbala
Tera Mujrim Tere Rubaru Aagaya
Sheh Ne Seene Se Hurr Ko Laga Kar Kaha
Jurm Tera Bohot He Bada Hai
Lanatein Kar Rahe Ho Abhi Tak Wusool
Kya Hua Zulm Se Tum Ko Hasil Husool
Inki Azmat Na Ki Tum Ne Dil Se Qubool
Zalimo Phir Bhi Baqi Hai Naam E Batool
Tum Ne Karna Tha Jo Kar Liya Hai
Teri Mutthi Mein Baghein Hai Kaunain Ki
Tere Haatho Mein Nabze Hai Darain Ki
Kun Tajalli Tere Naam Ke Ain Ki
Teri Mehkoom Madar Hai Hasnain Ki
Ya Ali Tera Rutba Siwa Hai
Umr Se Kam Nahi Hoti Azmat Kabhi
Aik Bacchi Se Iski Sanad Hai Mili
Apni Dadi Ki Manind Hai Wo Jari
Kamsini Mein Wo Shahi Ulat Kar Rahi
Sin Bazahir Sakina Ka Kya Hai
Bole Fizza Se Qambar Zara Ghour Kar
Mere Maula Mein Hai Sab Khuda Ke Hunar
Raat Bhar Madh E Haider Wo Karta Raha
Wajd Taari Tha Fizza Pe Us Dam Magar
Us Ne Sab Maan Kar Bhi Kaha Hai
Shehenshahi Se Bhi Qeemti Hai
Habsh Ko Chor Kar
Us Se Mun Mor Kar
Syeda Ki Ye Jo Fizza Ne Ki Naukri Hai
Deher Mein Dekhlo Har Jagah Par
Bohot Mashoor Inki Wafa Hai
Ek Hai Abbas Aur Ek Hai Fizza
Farq In Mein Bhala Konsa Hai
Mujh Se Pucho Tou Farq Wafa Ka
Ek Hai Chand Aur Ek Chandni Hai
Lakh Mana Gunhagar Hai Aadmi
Hai Azadaar Ki Haami Binte Nabi
Fatima Ke Takallum Hai Mana Yehi
Hum Ko Dozakh Mein Jane Na Dengi Kabhi
Gar Che Isyaan Se Daman Bhara Hai
