Koi Maane Ya Naa Maane
Fatima Hai Fatima
Jis Ke Laiq Mustafa Hain
Wo Ataa Hai Fatima
Do Muhammad Paal Kar Tune Diye Islam Ko
Baap Ne Yun Tujh Ko Apni Maa Kaha Hai Fatima
Khud Ko Wo Hasnain Ka Darzi Kahe Ga Umar Bhar
Aap Ne Rizwan Ko Darzi Keh Diya Hai Fatima
Apni Dhaari Se Safai Tere Dar Ki Raat Bhar
Kon Hai Jo Yun Tahajjud Parh Raha Hai Fatima
Jor Kar Hathon Ko Apne Hur Ne Ye Awaz Di
Aap Ke Hathon Main Mera Faisla Hai Fatima
Mukhtasar Khair Un Nisa Ka Bas Yahi Mafhoom Hai
Aalam E Niswan Ki Khatir Mustafa Hai Fatima
Sehan E Kaaba Tak Bhi Jane Ki Na Zehmat Di Gayi
Tujh Ko Har Beta Musalle Par Mila Hai Fatima
Mehdi E Doran Takallum Hai Jahan Per Aaj Bhi
Parda E Ghaibat Nahi Teri Ridaa Hai Fatima
