Fatima Ke Dono Pisar      

Ajeeb Haal Main Hain Fatima Ke Dono Pisar
Hasan Ke Teer Badan Main Hussain Teero Par

Hasan Ko Dekha Hai Qasim Ne Khoon Ugalte Hue
Sakina Dekhti Hai Baap Ko Tah e Khanjar

Na Jane Dekhe Hai Zainab Ne Tasht Main Kese
Jigar Ke Tukre Hasan Ke Kabhi Hussain Ka Sar

Hasan Ne Jate Hue Choome Bazu Zainab Ke
Hussain Jate Hue Choomte Rahe Chadar

Hasan Ke Bete Ke Ummat Ne Kar Diye Tukre
Hussain Late Hain Tukre Wo Saare Chun Chun Kar

Udhar Hasan Ke Janaze Par Phool Teero Ke
Idhar Hussain Ke Lashe Pe Nazr Hai Patthar

Udhar Hasan Ka Janaza Phiraya Galiyon Main
Sar E Hussain Phiraya Gaya Idhar Dar Dar

Tarap Rahe Hai Janaze Kuch Aur Yun Akbar
Ke Teer Khech Rahi Hai Badan Se Khud Madar

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *