Kalma Go Haste Rahe Fatima Roti Rahi
Jalte Darwaze Tale Siskiyaan Leti Rahi
Haye Maa Zainab Ki
Kitni Be Bas Thi Madine Mein Nabi Ki Dukhtar
Jalta Darwaza Kisi Ne Na Uthaya Aa Kar
Haye Kaisa Tha Sitam Rakh Ke Quran Pe Qadam
Aa Gaye Ghar Mein Shaqi
Tane Sunte Thy Ye Bazar Mein Logon Se Ali
Is Ne Mara Tha Humare He Bazurgon Ko Kabhi
Hum Ne Yun Badla Liya Qatal Zahra Ko Kiya
Kuch Na Kar Paya Ali
Jaise Qassab Zabihe Ko Liye Jate Hain
Aise Haider Ko Laeen Khainch Ke Le Aate Hain
Aage Aage Hain Ali Piche Piche Wo Chali
Jo Hai Zakhmo Se Bhari
Yaad Jab Aata Hai Dil Hota Hai Para Para
Kaise Hasnain Ki Madar Ko Laeen Ne Mara
Khoon Aankhon Se Baha Sirf Ya Mehdi Kaha
Aur Zameen Par Wo Giri
Sirf Pehlu Nahi Bazu Bhi Shikasta Ho Ga
Tum Ne Kis Tarhan Janaze Ko Sambhala Ho Ga
Kaise Turbat Mein Rakha Tanha Maiyyat Ko Bhala
Mere Mazloom Ali
Baap Ki Qabar Pe Dewarein Pakar Kar Jana
Aur Rote Hue Us Haal Mein Wapas Aana
Is Aziyat Ki Magar Hai Sakina Ko Khabar
Fatima Kaise Chali
Sath Darbar Se Rote Hue Aate Thy Hassan
Maa Ke Qadmo Ke Nishano Ko Mitate Thy Hassan
Us Pe Ye Zulm Hua Hath Zalim Ka Utha
Khak Par Zahra Gireen
Jis Ghari Ho Gaya Rukhsar Mein Paiwast Gohar
Ro Ke Kehta Raha Khud Se Abu Talib Ka Pisar
Aise Takta Na Tujhe Maut Aa Jati Mujhe
Kash Aye Bint e Nabi
Din Mein Jab Chand Takallum Ka Wahan Jata Hai
Tooti Qabron Pe Koi Saya Nazar Aata Hai
Mujh Ko Lagta Hai Yehi Ab Bhi Hain Bint e Nabi
Dhoop Mein Bethi Hui
