Aftaab-E-Falak-E-Izz-O-Sharafat Zehra
Naaz Quran Ko Hai Jis Par Woh Taharat Zehra
Hai Najabat Bhi Sayadat Bhi Karamat Zehra
Khud Shariyyat Ne Kaha Meri Shariyyat Zehra
Arsh-E-Maabood Ruka Hai Nazar-E-Zehra Par
Sar-E-Jibreel Bhi Jhukta Hai Dar-E-Zehra Par
Haan Isi Dar Se To Ummat Ne Shariyyat Paayi
Jis Se Hai Duur Gumaan Aisi Haqeekat Paayi
Nasl-E-Kurba Bhi Ye Kehlaayi Sayadat Paayi
Nakhl-E-Zehra Ne Ajab Fasl Ki Nemat Paayi
Nemat Aisi Ke Isay Tohfa-E-Rehman Kahain
Haq Ki Ayaat Jisay Lulu-O-Marjaan Kahain
Maadar-E-Lulu-O-Marjaan Janab-E-Zehra
Haq Ka Ahmed Pe Hai Ehsaan Janab-E-Zehra
Jin Pe Saaya Karay Quran Janab-E-Zehra
Kull-E-Imaan Ka Imaan Janab-E-Zehra
Hai Khadija-O-Muhammad Ki Dil-O-Jaan Batool
Abu Talib Ki Bahu Deen Ki Pehchaan Batool
Nukta E Khatt E Imamat Hui Zaat E Zehra
Shah-E-Saahib-E-Kausain Hayaat-E-Zehra
Mazhar-E-Noor Ala Noor Sifaat-E-Zehra
Khalq Par Rizq-E-Musalsal Hai Zakat-E-Zehra
Khalq Par Band Agar Ye Dar-E-Zehra Ho Jaaye
Ronak-E-Kaun-O-Makaan Kehat Ka Sehra Ho Jaaye
Aql-E-Hawwa Ki Kasam Aql Ka Jauhar Hai Batool
Husn-E-Sara Ki Kasam Noor Ka Jhoomar Hai Batool
Umm-E-Musa Ki Kasam Sabr Ka Langar Hai Batool
Sibt-E-Maryam Ki Kasam Taahir-O-Athar Hai Batool
Inhin Aasaf-E-Hameeda Ka Nateeja Hai Yehi
Aur Aakhir Mein Jo Dekho To Khadija Hai Yehi
Khidmat-E-Madar-E-Zehra Mein Taharat Ka Salaam
Kabl-E-Besat Ki Dua Baad-E-Risaalat Ka Salaam
Teri Seerat Ke Liye Hurmat-E-Riffat Ka Salaam
Nasl-E-Ashraf Ki Najaabat Ka Sakhawat Ka Salaam
Tere Dar Par Bhi To Sidra Ka Makaam Aata Hai
Roz Jibreel Yahan Le Ke Salaam Aata Hai.
Mehwar-O-Maalik-O-Makhdooma-E-Tatheer Batool
Hal Ata Kausar-O-Wal Fajr Ki Tafseer Batool
Ahd-E-Ahmed Mein Had-E-Kadr Ki Takdeer Batool
Loh-E-Mehfooz Pe Likhi Hui Tehreer Batool
Fakhr-E-Mabood Hai Ik Aik Adaa-E-Zehra
Aaj Tak Karta Hai Quran Sana-E-Zehra
In Ke Ghar Mein Kabhi Firdos Se Joda Utra
Padh Ke Wan-Najm Kabhi Arsh Se Taara Utra
Shukr Ke Saath Kabhi Dehr Ka Sura Utra
Aik Sura Hi Nahi Poora Sahifa Utra.
Gazab-E-Haq Ka Sabab Gair Se Naraazi Hai
Fatima Jis Se Ho Khush Us Se Khuda Raazi Hai
Fatima Naar-E-Jahannum Se Bachanay Waali
Fatima Qaid-E-Museebat Se Chudaanay Waali
Fatima Dehr Mein Ismat Ke Gharanay Waali
Fatima Qasr-E-Sitamgaar Ko Dhaanay Waali
Bint-E-Aadil Ne Adalat Ka Bharam Khol Diya
Aik Khutbay Se Hukoomat Ka Bharam Khol Diya
Shadman Maango Dua Maatmi Sab Shaad Rahain
Chahnay Walay Dar-E-Zehra Ke Aabaad Rahain
Nasl-E-Zehra Ke Jo Dushman Hain Woh Barbaad Rahain
Majid Is Bazm Mein Aqwaal-E-Nabi Yaad Rahay
Hubb-E-Zehra Main Jo Mar Jaaye Shahadat Paaye
Bibi Zehra Ke Tasadduk Mein Wo Jannat Paaye

