Fatima Zahra Ka Bhara Ghar Luta

Fatima Zahra Ka Bhara Ghar Luta
Kat Gaya Shabbir Ka Sukha Galla
Mah e Muharram Mein Ye Kya Ho Gaya

Momino Veeran Madina Howa
Ho Gayi Aabad Magar Karbala
Rotay Hain Marqad Mein Rasool e Khuda

Haye Wo Ashoor Wo Karb o Bala
Bhool Na Paein Gaye Ye Ahl e Azza
Aal e Muhammad Pe Thi Kaisi Jafa

Ho Gayin Pardais Mein Barbadiyan
Bain Yeh Karti Rahein Shehzadiyan
Sham Talak Jaein Gaye Hum Be Rida

Jab Hoye Abbas Ke Bazu Qalam
Ho Gaye Be Aasra Ahl e Haram
Cheeni Gayin Pak Saron Se Rida

Samne Darya Younhi Behta Raha
Kunba Muhammad Ka Tarapta Raha
Teen Shab o Roz Na Pani Mila

Beh Gaya Jab Khak Pe Sheh Ka Lahoo
Gaunj Rahi Thi Yeh Sada Chaar So
Karti Thi Faryad Yeh Khak e Shifa

Beh Gaya Jab Khak Pe Sheh Ka Lahoo
Gaunj Rahi Thi Yeh Sada Chaar So
Karti Thi Faryad Yeh Khak E Shifa

Sham E Ghareebaan Hoi Khaima Jalaye
Ahl e Haram Khak Pe Baithay Rahe
Syed e Sajjad Ka Noha Yeh Tha
Noha Ali Jee Shnawar Parho
Sarwar O Rehan Ke Bazu Bano
Dard Mein Dobi Hui Aayi Sada

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *