Kesa Rahi Watan Main Ye Dukhiya Sa Puchiye
Gham Karbala Na Jane Ka Sughra Sa Puchiye
Karti Rahi Jo Zainab e Muztar Ki Minatein
Aur Hath Jor Jor Kay Sawar Ki Minatein
Ghazi Chacha Ki aur Kabhi Akbar Ki Minatein
Kesa Juda Hui Wo Sakina Sa Puchiye
Karbobala Ki Aas Ko Dil Main Rakha Huwa
Akbar Ke Nam Ke Wo Jalati Rahi Diye
Sughra Ko Tanha Chor Ke Sare Chale Gaye
Roti Thi Kitna Ahle Madina Sa Puchiye
Seena Main Ik Jawan Ke Barchi Gari Hui
Or Sans Ik Zaeef Ke Lab Per Ruki Hui
Dekhi Hai Kis Ki Teer Sa Gardan Kati Hui
Sughra Ka Khuwab Hazrat E Salma Sa Puchiye
Jab Sheh Rag E Husain Pe Khanjar Hua Rawan
Bete Ko Zibha Karna Sa Khud Rokti Thi Maa
Qatil Ki Teraa Zarbo Ke Hatho Pe Hai Nishan
Khanjar Tha Kitna Kund Ye Zahra Sa Puchiye
Halat He Hogai Thi Kuch Asi Hussain Ki
Bikhri Thi Lash Tukro Mai Itni Hussain Ki
Pechaan Tak Na Paai Bhen Bi Hussain Ki
Maqtal Ka Hal Zainab E Kubra Sa Puchiye
Akbar Ki Lash Dekh Ke Be Hal Yun Hui
Uthi Kabhi Hussain Ki Tarha Kabhi Giri
Noor E Nazar Ke Sath Nazar Bhi Chali Gayi
Ankhoo Ka Noor Kya Hai Ye Laila Sa Puchiye
Dekhein Hain Char Barso Mai Us Na Kai Sitam
Aya Tabhi Hai Waqat Sa Phele Kamar Main Kham
Phelu Pa Hath Rakh Ke Uthati Rahi Qadam
Chalna Qamar Jhuka Ke Sakina Se Puchiye
Kis Gham Na Ik Jawan Ki Qamar Ko Jhuka Diya
Kis Gham Na Bachpan Main He Burha Bana Diya
Kyun Hogaye Zaeef Wo Dono Hua Hai Kiya
Sajjad Aur Fatima Sughra Sa Puchiye
