Shiddat E Sabr Sy Mar Jaye Na Maa Akbar Ki
Din Madine Mein Woh Taqdeer Ne Dikhlaya Hai
Jis Ny Mari Thi Kalaije Mein Sina Akbar Ky
Ban Ky Mehman Woh Sajjad Ky Ghar Aaya Hai
Ghar Main Aya Hai Qatil E Akbar
Umme Laila Ko Ho Gaye Hai Khabar
Sheh Tarapty Thy Qabr Ky Andar
Maa Tarhapti Hai Qabr Sy Bahar
Phir Wohi Kaifiyat Hai Laila Ki
Haal Tha Jo Jawan Ky Lashe Par
Us Ky Qadmon Ki Aahatein Sun Kar
Maa Ne Thama Huwa Hai Apna Jigar
Chehra Karbobala Ki Janib Hai
Pani Hathon Mein Ly Ke Roti Hai
Phir Raha Hai Nigah Mein Maa Ki
Ali Akbar Ki Moat Ka Manzar
Umme Laila Sambhal Zainab Ko
Kal Yeh Shabbir De Rahy Thy Sada
Aaj Abid Phuphi Sy Kehty Hain
Maa Ko Meri Sambhaliye Jaa Kar
Qabr E Zahra Se Aa Rahi Hai Sada
Is Ne Mara Hai Mere Baba Ko
Phir Madine Mein Ek Qayamat Hai
Hil Raha Hai Mazar E Paighambar
Ali Akbar Lipat Ky Qadmon Sy
Keh Rahy Hon Gy Apne Baba Sy
Toot Jaye Na Zabt Ka Bandhan
Hosla Maa Ko Dijiye Ja Kar
Sar E Akbar Utha Ky Naizay Par
Umme Laila Ko Yeh Dikhata Tha
Us Ko Kaise Woh Bhool Sakti Hai
Jis Sy Khaye Thy Sham Mein Pathar
Yeh Kareemi Sy Ruk Nahi Sakty
Qatilon Ko Duaein Dete Hain
Is Sy Pehle Keh Bakhsh Dain Abid
Koi Mukhtar Sy Kahe Ja Kar
Tum Ny Sajjad Mujh Ko Pehchana
Sun Ky Qatil Sy Bole Yeh Maula
Tu Woh Ibne Numair Hi Hai Na
Jis Ny Tukry Kiya Hamara Jigar
Kal Thy Mehman Hum Tery Zalim
Aj Mehman Tu Hamara Hai
Aur Kuch Chahiye Bata Tujh Ko
Abhi Keh Dun Phuphi Sy Main Ja Kar
Dil Nahi Lagta Aaj Ghar Mein Mera
Ay Takallum Yeh Maa Ka Noha Tha
Tham Kar Koi Mere Bazoo Ko
Le Chale Fatima Ki Turbat Par
