Bazu Juda Thy Koi Sahara Mila Nhi
Ghazi Ki Tarhan Koi Zameen Par Gira Nhi
Ghazi Wahan Gira Jo Kinare Furat Ke
Kooza Yahan Pe Gir Gaya Bachi Ke Hath Se
Lagta Hai Phir Sakina Ne Pani Piya Nhi
Wo Maa Hai Jo Hussain Ki Maa Fakhr E Kainat
Abbas Ko Bulati Hai Phaila Ke Dono Hath
Pehlu Se Jiska Hath Kabhi Bhi Utha Nhi
Haye Kis Samt Is Zameen Pe Wo Tashna Dahan Gira
Sheh Puchte Rahe Mera Bhai Kahan Gira
Qatil Ye Hans Ke Kehte Thy Hum Ko Pata Nhi
Tujh Par Mera Salam Ho Ummul Baneen Ke Lal
Zehmat Na Ho Imam Ko Tha Bas Yehi Khayal
Lasha Bhi Apna Sheh Ko Uthane Diya Nhi
Mur Kar Najaf Ki Samt Ye Zainab Ne Di Sada
Ab Agaya Yaqeen Chine Gi Meri Rida
Baba Humare Parde Ka Zamin Raha Nhi
Masqeeze Se Jo Teer E Sitam Paar Hogaya
Aisa Laga Ke Qatl Alamdar Hogaya
Phir Ba Wafa Khayam Ki Janib Barha Nhi
Ghazi Hua Jo Qatl Takallum Ye Shor Tha
Sar Katna Hussain Ka Asan Hogaya
Ab Koi Shah E Deen Ka Muhafiz Bacha Nhi
