Haath pehlu se hataya nahi jata Baba
Dard ne kar diya Zahra ko zaeefa Baba
Meri ta’zeem na ki, haath uthaya usne
Saamne beton ke tu keh ke bulaya usne
Bhoolun kaise main ummat ka rawaiya Baba
Ab woh darbaar kahan Baba mere qabil hai
Mera qaatil bhi wahi hai jo tera qaatil hai
Tere qaatil ne mujhe maara tamacha Baba
Yeh na socha ke Nabi aa ke jahan rukte the
Jahan Hasanain o Ali shaam o sehar jhukte the
Teri Zahra pe woh darwaza giraya Baba
Rassi Sartaaj ki shehrag ke qareeb roti hai
Un ki talwar bhi ab zair-e-zameen roti hai
Chhup ke karte hain Ali raat ko giriya Baba
Dard itne hain ke main sunaoon kaise
Zakhm aise hain ke Haider ko dikhao kaise
Saare zakhmon ki gawaah hai meri Fizza Baba
Lash-e-Abbas pe Sadiq yeh khulega uqda
Ek hi Mohsin o Abbas ka qaatil hoga
Dushmani hogi kahan is se zyada Baba
Poet by: Janab Saeed Sadiq
Noha khuwan: Kazmi Brothers
