Habib Aa Jao

Yeh Khat Mein Shah Ne Likha Habib Aa jao
Tumhara Dost Hai Tanha Habib Aajao

Shaheed Kaise Huwa Woh Batao Ge Aakar
Tum Haal E Muslim E Bekas Sunao Ge Aakar
Ruqaiya Takti Hai Rasta Habib Aajao

Lagao Us Se Bhi Andazay Meri Ghurbat Ke
Jahan Pe Ibn E Ali Likhna Tha Wahan Maine
Diya Hai Maa Ka Hawala Habib Aajao

Bata Raha Tha Usay Koi Bhi Nahin Hai Mera
To Boli Sani E Zahra Habib Aaye Ga
Hai Us Ko Tum Pe Bharosa Habib Aajao

Woh Jab Yeh Sunti Hai Kufay Se Aa Rahe Hain Shaqi
To Poochhti Hai Hamara Bhi Aaye Ga Koi
Duaein Degi Sakina Habib Aajao

Gawara Kar Nahin Sakti Hussain Ki Ghairat
Tumhari Zauja Ki Chadar Ko Loot Le Ummat
Tum Is Ko Chhod Ke Kufa Habib Aajao

Mujhe Hai Yaad Woh Lamha Jo Rab Ki Marzi Se
Tum Ho Ke Zinda Meri Baat Sunne Aaye Thay
Haan Bula Raha Hoon Dobara Habib Aajao

Dar E Batool Dobara Jalaya Jaye Ga
Tumhare Dost Pe Khanjar Chalaya Jaye Ga
Nahin Hai Waqt Zyada Habib Aajao

Chamakte Chaand Ki Hum Ko Bhi Deed Ho Jaye
Tum Aao To Mere Bachon Mein Eid Ho Jaye
Bohat Udaas Hai Kunba Habib Aajao

Yeh Khat Nahin Ise Behno Ki Aarzu Samjho
Hamare Lafzon Ko Zainab Ki Guftagu Samjho
Behen Yeh Kehti Hai Bhaiya Habib Aajao

Behen Ne Us Ko Takallum Jo Bhai Samjha Tha
Pukari Shaam E Ghareeban Mein Sani E Zahra
Hamara Lutta Hai Parda Habib Aajao

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *