Hai Apni Sakina Ka Abbas Ko Ghum Maula
Pyasi Rahi Shehzadi Aur Marte Hain Hum Maula
Tashreef Jo Laayi Hain Tazeem Ko Uth Jaata
Sar Apna Jhuka Kar Main Aadaab Baja Laata
Uthne Se Bhi Qaasir Hoon Baazu Hain Qalam Maula
Khatun e Jinaan Ne Yun Girne Se Bachaya Hai
Rahwar Se Bibi Ne Khud Mujh Ko Utara Hai
Hain Khaak Pe Bibi Ke Yeh Naqsh e Qadam Maula
Aati Hai Sada Koi Badhti Hai Pareshani
Jaise Ke Koi Bachi Kehti Ho Chacha Paani
Hai Maut Se Barh Kar Ye Zahra Ki Qasam Maula
Chhinte Hue Bibi Ke Dikhte Hain Gahar Mujh ko
Roti Hui Aati Hai Masoomah Nazar Mujh ko
Kis Tarah Se Jhelegi Wo Ranj o Alam Maula
Maqtal Mein Pada Rehne Dijiye Ga Mera Laashah
Abbas Ki Ghairat Ko Bardaasht Nahi Ga
Mayyat Pe Meri Royen Ab Ahl e Haram Maula
Jate Hue Hasrat Hai Yeh Aap Ke Khadim Ko
Bas Sani e Zahra Ke Khaime Ki Ziyarat Ho
Rukh Phair Dein Us Jaanib Ab Waqt Hai Kam Maula
Reti Pe Tera Khadim Pairon Ko Ragarta Hai
Hain Zakhm Lage Itne Khoon Jism Se Behta Hai
Ruk Ruk Ke Nikalta Hai Ab Seene Se Dam Maula
Main Aap Ke Chehre Ko Dekhun Tu Bhala Kaise
Ek Teer Se Zakhmi Hai Ek Aankh Hai Tar Khoon Se
Ye Teer Hata Dein Tu Ho Jaye Karam Maula
Abbas Ke Khaime Main Maula Ne Alam Rakh Ke
Kati Hain Tanaabain Yun Akbar Ke Abhi Jaise
Dafnaate Hain Ghazi Ki Hasrat Mein Alam Maula
