Ali Ali Mola Ali Haider Haider
Ali Dum Ali Dum Ali Ali Dum
Buhe Dil De Khol Malanga
Haider Haider Bol Malanga
Zikr Ali Ka Dil Main Basa Le
Apne Dil Ko Kaaba Bana Le
Har Pal Har Dum Aik Wazifa
Momin Ki Meraj Ali Hai
Zahra Ka Sartaj Ali Hai
Malik Ki Pehchan Ali Hai
Deen Ali Quran Ali Hai
Chor Kitaban Pharh Le Nukta
Tere Qadam Chume Gi Manzil
Eid Ka Din Hai Sab Se Gale Mil
Wo Aya Jo Chehra E Rab Hai
Khushiyan Mana Le Tera Rajab Hai
Dal Dhamalein Masti Main Aa
Hum Ba Shaoor Hain Humein Itni Tameez Hai
Jannat Ali Wali Ki Gali Ki Kaneez Hai
Tum Mutaqi Ho Dhoodho Koi Aur Maiqada
Kausar Tou Ek Malang Ke Peene Ki Cheez Hai
Mola Ali Mola Mola Ali Mola
Dil Ki Zameen Aflak Bana Le
Zarf Ko Apne Pak Bana Le
Dil Main Ali Jab Tere Hoga
Jhuk Jaye Gi Sari Duniya
Kaabe Wangu Wird Kari Ja
Likhi Hui Tehreer Badal De
Naam E Ali Taqdeer Badal De
Quran Sara Naam E Ali Main
Rab Ka Nazara Naam E Ali Main
Banr Ja Sangti Bulleh Shah Da
Hai Irshad E Nabi Zikr E Ali Ain E Ibadat Hai
Na Ho Hub E Ali Batil Ibadat Ho Bhi Sakti Hai
Duniya Se Be Gana Ho Ja
Mola Ka Deewana Ho Ja
Mesum Buzar Ab Na Kahe Ge
Sath Tujhe Salman Rakhe Ge
Teri Badal Jaye Gi Duniya
Tu He Ba Hai Tu Bismilallah
Tu He Iqra Tu He Qul
Tu He Abad Hai Tu He Azal Hai
Tu He Juzw Hai Tu He Qul
Ahl E Wila Main Shan Barhe Gi
Nabiyon Main Pehchan Barhe Gi
Shohrat Aur Izzat Bhi Mile Gi
Mola Ki Shafqat Bhi Mile Gi
Mir Takallum Jaisa Ho Ja
