Salam Ya Ali Salam Ya Ali
Khuda Ne Bheje Hain Jis Par Durood Aur Salam
Shaheed Aaj Hua Hai Hamara Pehla Imam
Imam Aisa Jo Allah Ka Iradah Hai
Imam Aisa Jo Zouj E Janab E Zahra Hai
Imam Aisa Jo Pyare Nabi Ka Saya Hai
Imam Aisa Jo Hasnain Ka Bhi Baba Hai
Hai Us Imam Ki Duniya Mein Aaj Aakhri Sham
Hussaini Maaon Ne Bachon Ko Apne Samjhaya
Ali Ke Qatal Ke Ye Din Hain Misal E Ashoora
Libas E Sog Pehan Kar Bichao Farsh E Azza
Ye Din Woh Hain Ke Khushi Bhi Haram Hai Beta
Guzaro Giriya O Zaari Mein Apne Subha O Sham
Zamana Lakh Mukhalif Ho Ye Batana Hai
Kisi Bhi Haal Mein Youm E Ali Manana Hai
Azza Ke Lafz Ki Hurmat Ko Bhi Bachana Hai
Ke Jan De Ke Bhi Farsh E Azza Bichana Hai
Phir Aglay Saal Kahe Ge Ali Ke Sare Ghulam
Ajeeb Gham Ka Ye Mah E Sayam Aaya Hai
Ali Ke Qatal Ka Saman Sath Laya Hai
Nabi Ko Qabar Mein Jis Ne Lahu Rulaya Hai
Ali Ke Bachon Ne Daag E Yateemi Paya Hai
Ali Ke Shiyon Mein Barpa Hai Dard Se Kuhram
Namak Khajoor Se Iftar Karne Wala Imam
Fida Rasool Pe Ghar Bar Karne Wala Imam
Adu E Deen Pe Yalgar Karne Wala Imam
Khuda Ke Bandon Se He Pyar Karne Wala Imam
Ali Se Pyar Hai Jis Ko Parhe Ga Woh Ye Kalam
Tamam Kar Ke Tahajud Khuda Ka Shair Utha
Phir Apne Ghar Se Chala Suwe Masjid E Kufa
Jaga Ke Apne He Qatil Ko Ye Ali Ne Kaha
Jo Kam Karne Ko Aaya Hai Kyun Nahi Karta
Ye Keh Ke Maula Mera Namaz Parhne Laga
Hoi Jo Pehli Rakat Laeen Aqab Se Barha
Chalai Taig E Jafa Shigaf Sar Ko Kiya
Namazi Rone Lage Ali Ki Aayi Sada
Fuztu Be Rab Alkaba
Bujhi Thi Zehar Mein Talwar Us Sitamgar Ki
Shigaf Karte Hue Sar Jaben Tak Utari
Khabar Ye Khana E Zahra Mein Jis Ghari Pohunchi
Hasan Hussain Se Zainab Tarap Ke Kehne Lagi
Falak Se Aaya Hai Jibreel Ka Ye Kaisa Pyam
Jahan Ko Dete Hain Paigham Meesum O Mazhar
Nahi Qayamat E Sughra Se Kam Ye Gham Dil Par
Ali Ke Sog Mein Farsh E Azza Biche Ghar Ghar
Hamesha Bhejiye Lanat Bhi Ibn E Muljim Par
Is Aik Baat Pe Takmeel Pa Chuka Hai Kalam
