Darbar Main Khari Hui Kehti Hai Fatima
Baba Wo Ab Madina Madina Nahi Raha
Haq Mangti Hai Zahra Majma Hai Baaghiyon Ka
Baba Tere Watan Mein
Pardesiyon Ki Tarhan Rehti Hai Ab Ye Dukhiya
Ab Log Fatima Ko Pehchaante Nahi Hain
Mein Aap Ki Hoon Beti Ye Maante Nahi Hain
Koi Nahi Hai Mera Mein Reh Gayi Hoon Tanha
Gham Ye Nahi Hai Mujh Ko Darwaza Jal Gaya Hai
Is Se Bara Sitam Tou Zehra Pe Ye Huwa Hai
Dar Jal Raha Tha Mera Koi Na Ghar Se Nikla
Dar Mujh Pe Zalimon Ne Jalta Hua Giraya
Mein Gir Pari Zameen Par Ghash Is Tarhan Se Aya
Mohsin Jahan Se Guzra Pehlu Hua Shikasta
Mein Bhi Khari Hui Thi Hasnain Bhi Khare Thy
Masjid Mein Meri Janib Sab Log Dekhte Thy
Ye Zakhm Na Bhare Ga Mein Ban Gayi Tamasha
Koi Salam Aakar Karta Nahi Tha Pehle
Ab Tou Jawab Dena Lazim Nahi Samajhte
Har Shakhs Bhool Betha Rutba Abul Hasan
Ghut Ghut Ke Apne Ghar Mein Aansu Baha Rahi Hoon
Har Zakhm Murtaza Se Apna Chupa Rahi Hoon
Khaya Hai Taziyana Zakhmi Hai Mera Chehra
Fizza Ke Ab Sahare Mein Uthti Bethti Hoon
Kha Kar Tamacha Jab Se Mein Khaak Par Giri Hoon
Ye Zulm Mujh Pe Toota Mein Ho Gayi Zaeefa
Baba Se Wo Takallum Shikwa Ye Kar Rahi Hai
Ummat Ko Fatima Se Kya Jaane Dushmani Hai
Ho Raat Ya Savera Turbat Pe Hai Andhera
