Haye Hassan Mola

Zehra Ka Jigar Paara Haider Ka Dulara
Haye Hassan Mola Haye Hassan Mola
Nikla Hai Tera Ghar Se Do Baar Janaza

Joda Ne Jigar Tukde Kar Daala Tumhara
Haider Ki Adawat Ka Liya Tumse Hai Badla
Is Zulm Se Karbal Ka Aaghaaz Hua Tha

Shabbir Pe Aur Tujh Pe Ek Jaisa Sitam Tha
Yahan Teer Janaze Par Waha’n Teero Pe Lasha
Do Baar Hua Tukde Zehra Ka Kaleja

Teero Se Bhara Laasha Ghar Laut Ke Aaya
Pehchaan Nahi Paayi Zainab Tera Laasha
Dil Thaam Ke Zainab Ne Har Teer Nikala

Tukre Tha Jigar Tera Jis Tarha Se Maula
Qasim Ka Badan Tukre Usi Tarha Hua Tha
Puche Koi Ummat Se Kya Jurm Tha Tera

Chauda So Baras Beete Ye Zakhm Hai Taaza
Farhan Ho Ya Mazhar Sab Karte Hai Nauha
Taa Hashr Tere Ghum Mein Royegi Ye Duniya

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *