Haye Haye Ali Asghar
Maa Ke Dulaare Ali Asghar
Aankhon Ke Taare Ali Asghar
Aag Lagi Hai Khaimon Main
Ayy Mere Pyare Ali Asghar
Maa Kehti Tazhi Jalte Huay Jhule Se Lipat Kar
Haye Haye Ali Asghar
Zalim Ne Tujha Qabr Se Iss Tarha Nikala
Seene Pe Laga Jis Ghari Beta Tere Naiza
Laashe Ko Tere Dekh Ke Bola Sar E Akbar
Qatil Tera Mil Jaye Tu Khud Poch Lun Us Se
Kya Jurm Tha Chhe Maah Ke Bachhe Ka Bata De
Us Na Tu Bulaya Nahi Maa Bhi Mujhe Keh Kar
Ab Tak Meri Aankhon Se Woh Manzar Nahi Jata
Gardan Se Teri Khoon Tapakta Raha Beta
Rumaal Bhi Bandha Na Gaya Tere Galey Par
Jis Teer Se Naqe Ko Giraate Hain Zameen Par
Woh Teer Laga Nanne Se Halqoom Pe Aa Kar
Tum Khoon Ugalte Rahe Baba Se Lipat Kar
Tum Mar Gaye Yea Baat Woh Ab Tak Nahi Maani
Zid Kar Ti Hai Bhai Ko Pilaaungi Main Paani
Kooza Liye Maqtal Main Khari Hai Teri Khuwahar
Majboor Thi Ghar Main Mere Pani He Nahi Tha
Warna To Dhula De Ti Main Yea Khoon Bhara Chehra
Dadi Sy Shikayat Nahi Karna Meri Jaa Kar
Maara Hai Sitamgar Ne Sakina Ko Tamacha
Ghazi Ki Tarha Tum Se Bhi Dekha Nahi Jaata
Band Aankhein Kiye Rote Ho Tum Noke Sina Par
Sar Iss Liye Nezay Se Gira Dete Ho Apna
Godi Main Meri Aana Hai Shayad Tumhe Beta
Lekin Hai Bandhe Haath Utha Sakti Nahi Sar
Sajjad Woh Kehti Thi Chala Bhi Nahi Jaata
Do Chaar Qadam Baad He Gir Jaati Hoon Beta
Meri Bhi Kamar Kham Hai Teri Lash Utha Kar
